Posts

Showing posts from 2024

tere jaane ke baad

Tere jaane ke baad,  Bahut logon ke saath hansi main,  Par khushi ka ehsaas hua hi nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne pyaar jataaya mujhse,  Par yeh aankhein bhi jhapki nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne haath pakda mera, Par rekhaayein kisi se judd na saki.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne chhua mujhko,  Par yaad meri rooh ko ek bhi nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ki shayad huyi main, Par mera koi kabhi hua nahin.  Tere jaane ke baad,  Tukde huye mere anginat,  Par mere siva kisi ko chubhe nahin.  - Medhavi  02/09/24

shayari

[12/08, 3:31 am] Dr. Medhavi: Kyun jodte ho tum toote tukde mere dil ke,  Ijaazat toh maine tumhe apne dil mein jhaankne tak ki na di thi.  - Medhavi Aaj tumhe mehsoos kiya meri rooh ne,  Aur phir suna tumse hi,  Ki hamara saath mumkin nahin.  - Medhavi [12/08, 3:32 am] Dr. Medhavi: Na intezaar tha, na ummeed thi,  Phir bhi aisa lamha tu de gaya mujhe,  Jo tere jaane ke baad bhi guzarta nahin.  - Medhavi [12/08, 3:36 am] Dr. Medhavi: Main bahut koshish karti hun,  Tumhare Ishq mein na paddne ki,  Aur phir tum muskura dete ho.  - Medhavi [12/08, 3:38 am] Dr. Medhavi: Main ab bhi giraftaar hun teri us ek nigaah mein, Jo be-takalluff tune mujhe shayad khairaat mein di thi.  - Medhavi [12/08, 3:39 am] Dr. Medhavi: Na-ummeed Dil ki gustaakhi toh dekho,  Tumhe dekh har nazar yeh ek naya khwaab bunta hai .  - Medhavi [12/08, 3:40 am] Dr. Medhavi: Na tootne ka khauff hai,  Na phir bhikharne ka ghum hai,  Bas ek afsos hai itna sa,  Ki tere saath guzra waqt bahut kam hai.  - Medhavi [12/08, 3:42

gali

Dhundha tujhe un sab galliyon mein jahaan jahaan ummeed thhi Pukaara tujhe chilla chilla kar par shayad mere hausalon mein kami thhi Sun raha hai tu mujhe Shayad dekh bhi raha hai  Teri uss duniya mein shayad Yeh sab mumkin har tarah hai Par soch kabhi mera bhi Hun main yahan be-ummeed Sab pooch rahe hain mujhse Aur main keh rahi hun sab theek Sambhaalna hai tere apnon ko par mujhe sambhaalne wala koi nahin Na jaane neend kab aayegi Na jaane kab chain milega Itni thhi baatein kehne ko  Par tune suna hi nahin... Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai  Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai  Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se  Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil Kho gaye saare raaste Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil.. -Medhavi R.i.p Abhi

Dilli

Kyun achcha lagta hai tumhe Dilli ?  Itna unsafe hai, itna traffic, itne uncivilised log !  Dilli, kahan se shuru karun?  Mujhe Dilli ke dhalte mausam pasand hain,  Kyunki har mausam mein Dilli kuch alag lagta hai,  Har maheene, har saal, iska har rang badalta hai Mujhe Dilli ke makbare aur baoli pasand hain, Inko dekhne kitni bhi daffa jaaun, mann nahin bharta hai Mujhe Central Dilli ki khaaskar, saari sadkein pasand hain,  Chalte chalte waqt ka pata hi nahin chalta hai Mandi House mein har din chalti firti, banti bigadti anginat kahaaniyaan pasand hain,  NSD, Bengali Market, Triveni, Chinese Van, in sab mein kahin na kahin mera bachpan palta hai Mujhe Dilli ki bus-on mein ghoomna pasand hai,  Aur metro mein gaane sunte huye chalna pasand hai, Public transport lo toh har din aasaan lagta hai Lotus Temple ka sukoon, Qutub Minar ka view, Ghalib ki haveli, aur Sundar Nursery ki vibe, Cathedral Church ki candles, Bangla Sahib ka kada prasad, Hanuman Mandir ke darshan, Jama Masjid ki azaan

neeche ka kamra

Woh neeche ke ghar ka kamra jo aksar bandh rehta hai,  Usmein ab bhi tumhari kuch khushboo baaki hai,  Woh purse jo tumne mere is janamdin pe diya tha, Usmein ab bhi tumhari rakhi chilladd baaki hai... Woh glass jismein tumne aakhiri baar paani piya tha,  Ab bhi mere sirhaane rakha hai,  Woh chota sa showpiece jo tumne kamre mein lagaya tha, Woh kaanch ke darwaaze se aksar mujhe dekhta hai...   Woh windchime jo tumne pichli Diwali pe di thi,  Uski aawaaz ab bhi mere kamre mein goonjti hai, Woh chaabi taangne wala jo tum Jaipur se laaye thhe,  Usmein ab meri meri chaabiyaan khanakti hain... Mere har din ki kisi na kisi baat mein tumhari yaadein saanson ki tarah saath saath chalti hain,  Tumhare us faisle par har din mujhko kuch aur jhanjhodti hain, daant-ti hain, samjhaati hain... Ki woh aakhiri postcard jo tumne Spiti se bheja tha,  Jispe tumne likha tha ki tum mera saath kabhi nahin chodoge, hum hamesha saath rahenge,  Tumhari saari baaton ki tarah, yeh bhi sirf baatein thi,  Tumhare

gaane

Hum aksar gaano ke zariye baatein karte thhe,  Aur phir ek din, hum alag ho gaye,  Mere sur, jaise mere honthon ko chodd gaye,  Mera zehen, kisi gaane ko ab sunta nahin,  Uske diye zakhm meri had dhadkan todd gaye,  Koi lafz, koi saaz dil tak ab pahunchta nahin... Kahaani ghazalon ki, geeton ki baaton ki,  Kishore, Rafi, Kuhad, Anuv aur Trivedi ki,  Shayari Faiz, Rumi ki, kavitayein Bashir ki,  Sab mujhse roothi yun jaise meri pasand hi na thi... Ab main gaane sunti nahin,  Khaali rakha hai dil ka makaan sab saazon se, Kyunki shor mere mann ka maun hota nahin,  Usko bhulaana hai, mitaana hai jazbaaton se... Woh sunta hai ab bhi, gungunaata bhi hai,  Har lafz jo sune woh, mujhe yaad aata bhi hai,  Par faaslon ka faisla uska hi hai,  Aur mohabbat ka aakhiri karz yeh dil chukaata bhi hai... Bhool jaayenge usay, yeh koi shart na thi,  Yaad aayenge usay, itni toh aukaat hamari bhi hogi,  Guzar jaayega yeh waqt, waqt ke saath bhi,  Uske waqt mein magar thodi Kami hamari bhi rahegi.  - Medhav

talash

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab l

yaadein

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai.  Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain.  Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaale par us

strangers

We walked past each other like strangers,  It felt as if I had forgotten his face,  It felt different, as it felt good,  I moved on sooner than I thought I would,  One second of awkwardness and then it was gone, I smiled again with my heart because nothing seemed wrong, I wondered on my way back was it him who I loved, Regrets too seemed useless as there was not even hatred, One of the best feelings I swear, is to finally get over your choices, It is when you can finally recollect yourself and hear your inner voices, The damage done can never be rectified though,  But now at least I can open myself again to the idea of love.  Medhavi  July 4'17

hisaab

Waqt ka hisaab kho baithi hun aajkal,  Din raat ek se lagte hain tujhmein kho kar har pal,  Hai faasle apni jagah,  Phir bhi kyun itni nazdeeki hai,  Saat samundar ki doori, Saade teen ghante ka fark,  Aur milne ki taareekh kareeb hi hai,  Tujhe dekh kar jagne sone ki aadat padd gayi,  Aur bematlab hansne ki wajah kaafi hain,  Kat jaayega yeh intezaar ka daur bhi,  Tab tak tum par likhni hain shayari har din,  Guzar jaayenge yeh maheene, mit jaayegi har sarhad, Jab milenge toh kaisa hoga yeh sochte hain tab tak.  Medhavi  02/07/24

pal🌸

Ek pal bhi zindagi ka, kyun bin tere zaaya ho, tu ghul jaaye mujhmein, ki mera wajood bhi tera saaya ho... Tu mujhse ho kar guzre, main tujhmein kuch yun kho jaaun, teri baahon mein mere katre simtein, tujhmein bas ke, bas teri ho jaaun... 

for i🌸

Khayalon se tumko ruksat karne ki tayyaari poori hai,  Bas yeh ishq aisa hai ki khud se be-imaani kar jaata hai. Inkaar ka tere yakeen tha, Isliye rok liya khud ko, Keh dete jo soch mein tha, Toh kaise rok paate tum khud ko Un aankhon mein ghalib ki baatein thi, Padh ke jinhe main kuch aabaad bhi hun aur barbaad bhi, Likhun kya un par ki lafzon ki zara tangi hai, Likhun kya un par ki lafzon ki zara tangi hai, Ki unse nazar hat-ti nahin, unke jaane ke baad bhi !

wajah

Aaj soch rahi thi  Ki agar tum poocho kabhi Ki mere liye tum kya ho Toh main kya kahungi  Subha uthte hi mere chehre ki muskaan ho tum,  Meri Alexa pe bajte 'tu hai kahan' ka alarm ho tum,  Aayeene mein dekh kar khud ko nazrein jhuka Dene wali sharam ho tum,  Kamre se nikalte huye Jo gungunaati hun main woh nazm ho tum... Naashte ke waqt mere saath baithne wala khayaal ho tum,  Kya pehnu aaj jo bhaaye tumhe woh sawaal ho tum,  Phone ko khud ke paas rakhne ki wajah ho tum,  Kuch aur waqt tumhare saath ki talab ho tum... Dhalti shaamon ka rang ho tum,  Khushbu woh jo chale mere sang ho tum,  Mere ishq ke itr mein ghulta nasha ho tum, Meri bewajah hans Dene ki wajah ho tum... Tum itne ho mujhmein,  Ki khud ko dhundhti hun main aajkal khud mein,  Tumse mil kar hone lagi hai phir se mohabbat khud se,  Tum tum ho aur yeh sabse khoobsurat baat hai tumhari,  Tum mil gaye issi zindagi mein, yeh kismat hai hamari. - Medhavi  - July 1, 2024

day dreaming

I caught myself day- dreaming again,  I didn't need the star studded sky,  Or the perfect rainbow after the pouring rain,  All I needed was to just breathe again,  And it was you, only you,  In my mind, in my thoughts... In the colors of the wind,  In the taste of water,  In the echo of silence,  In the fragrance of spring, In the touch of winter,  In the absence of presence... I caught myself day - dreaming about that one day that we never had,  The long walk that we never took,  The long hug that we never could,  The gazes that had to last a few more hours,  The touches that had to brush a few more times,  The silences that had to speak volumes,  The distances that had to shrink time... I caught myself day - dreaming again,  About those three seconds when I had you in my arms,  Those glances that were stolen by your infectious charm,  Those moments when our hands touched,  Those moments that I made sure I captured,  Your smile, your laugh, your voice, your glance,  I day - dream

bikhra

Mujhe bikhra dekh yun, Tu sukoon se kaise hai ? In kaanpte haathon ki garmahat, In ukhadti saanson ki haraarat, Kya tujhe mere liye zara bhi daraati hain ? Tujhse bichadd ke, Main jee na saki, Chalti rahi saansein lekin, Aur umar guzarti rahi. Tu laut ke na aaya, Tera intezaar bahut kiya, Tu laut ke na aaya, Tera intezaar bahut kiya, Yeh sab jaan kar tujhe, Zara bhi sharam aati hai kya ?  Medhavi  13/06/24

lied

He again lied to her about 'her' call He had saved 'her' number with a different name She believed him and chose to fall Blindfolded she was and got fooled again She saw him sharing glances with 'her'  In a crowded corridor she could catch their gaze But he looked at her just the way he did  And she gave up finding the way out from this maze He used to go to meet 'her' in her absence  She was somewhere alone lost in his thoughts  But he never cared and kept testing her patience And kept doing what he should have not They were an example for everyone around  But nobody could see the cracks in perfection  Her heart kept breaking without a sound And she kept on covering the cracks with her tears He said he didn't love her and needed more time  She said 'yes' like every other time He smiled at her and gave her hopes again But she had no idea about the actual decision he took for them Her fears were the same  Her insecurities were alike His lies n

Abhi 1

आज यूँ ही तुम्हारी याद आ गयी,  और सोच में पड़ गए ,  तुम होते तो कैसा होता... शायद मुशकिलें आसानी से आसान हो जाती ,  रातें यह शायद सो कर गुज़र जाती , हर सुबह तुम्हे ख़ुशी से याद करते ,  मिलने के नए बहाने हम बुन्ते ... पर अब तुम इतनी दूर हो ,  की कोई पुकार तुम तक नही पहूँचती ,  कोई खत तुम्हारा पता नही जानता ,  कोई ज़रिया तुम से नही जुडता ... सोचते हैं अक्सर ,  क्या तुम हो आस पास कहीं ,  मेरी गलतियां देख रहे हो , या मेरे रास्ते चुन रहे हो ,  अगर हो तो हाथ बढा रखा है ,  बस एक कदम आगे बढ कर ,  थाम लो हमको . कि बिखर रहे हैँ ख्वाब यह सारे ,  इस अेतबार पर , की तुम हो यहीं पर ,  एक दफा बस लौट भी आओ ,  सांस दे जाओ , ज़िन्दगी भर के लिए ...  . . Miss you Abhishek Singh.  Please come back.  RIP.

shay 4

Likhenge kuch tujh par,  Toh suni sunaayi baat lagegi,  Koi tohfa agar khareedenge,  Toh koi puraani saugaat lagegi, Isliye socha ki Ishq hi kar lein tujhse,  Kyunki is tarah bas tere naam har pal hoga Mukammal ho na ho yeh hai kismat pe,  Kam se kam yeh ek tohfa sabse alag hoga... Waah

malaal

Kya shikwa, kya gila karein, Jab galti hamari nazar ki thi, Humne khud usko chun kar, Apni barbaadi tayy ki. Unhe bhool jaane ke jatan kiye, Par aayeene se har din ki shikayat thi, Tumne chuna usay, yakeen tumne kiya, Tumne socha ki woh tumhari kismat thi. Khud se itna bair hua, Ki jeena yeh dushwaar hua, Ab har din ek hi malaal hai, Ki us se hi kyun humko pyaar hua.  Medhavi  21/05/24

shay 3

Arre abhi shayari shuru Kahan Kari,  Humein agar mohabbat ho jaaye aapse, Toh bas chandd lafzon se aapko, Hum yun hi amar kar dein.  Waah . Kya likha hai bhaisaab. I'm good.

shay 2

Tum par kuch likhungi,  Toh afsaana ban jaayega, Bin miley yeh haal hai, Milne ka bahaana ban jaayega, Apni tasveeron se kaho, Zara Kam meherbaan hon mere khayalon pe, Khaamakha Dil tumhara deewana ban jaayega.

shay - ek ladke

Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise sunset ke rang,  Chand Chandni ke sang, Jaise Sardi ki dhoop mein, Lambi walk ki feel, Jaise relationship pe bani huyi, Lakshay ki viral reel Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise library ki shelf mein rakhi book ke beech mein rakha hua phool,  Jaise pahadon ki raaton ke sannaatte mein bajta hua guitar, Jaise behti Nadi ki aawaaz mein gum sa koi Nasha, Aur school wala purest pehla pyaar Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise uski checked shirt ke boxes mein, Kahin chupi huyi sau kahaaniyaan hain uski, Woh bolte bolte kabhi thakta nahin, Par saari baatein kyun itni suhaani hain uski... Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Jaise uske haste chehre ke peeche bahut tanhaayi ho jaise,  Uske chote chote bachkaane videos ke peeche bahut gehraayi ho jaise... Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Ki din usko dekhe Bina ab achcha nahin lagta, Uski bematlab si baatein sune Bina ab waqt nahin kat-ta... Ek ladke ko dekha toh Aisa laga,  Ki pehle kyun nahin miley h

shay

Main sochti hun aksar,  Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga,  Kya hum ek dusre ko dekh kar muskuraayenge? Ya Jo baatein ho chuki woh soch kar hans denge? Kya hum ek dusre se Nazar mila sakenge? Ya bas baaton ke peeche sab Darr chupa lenge? Kya hongi anginat baatein hum mein ?  Ya khamoshi ka aalam hoga ?  Kya saath chalte huye ungliyaan chhoo jaayengi hamari, Ya Zara faasle ka Mausam hoga? Kya hum, hum dono ke pasandeeda samose khaayenge, Ya uski pasand ki koi aur cheez, Kya hum phone wali hi baatein karenge, Aur main tumko kahungi, chup, badtameez !  Kya main tumhare gale lag kar Zara der tumhe mehsoos kar sakungi, Ya sharam ka pehra Zara sakht hoga,  Kya main tumhe Dil ki saari baatein keh sakungi, Ya hamare paas kam waqt hoga? Yeh sochti hun main aksar ki, Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga... Medhavi  21/05/24

he said

He said he loved her, She said I can't love anymore, He said he could mend her heart, She said she had lost the courage... He sent her flowers, He sent her a portion of his first salary, She smiled but never let that sink in... He came to meet her, He made her feel special, She smiled but could never reciprocate... He wrote her letters, He bought her a dress, She read them n wore it but never could feel... He said he'd be there, He said he'll hold her, She heard it all but could'nt ever believe... He fought with his friends, He detached himself from the world, While she got busy discovering herself... He protected her always, He kept her under covers, While she built a castle for herself... He made her strong, He made her feel alive, She accepted the changes, but just for herself... He thought he made her his own, He thought she fell in love, She did.. but with herself... The capability to love did'nt exist in her, The pain that changed things,  Was a lesson for her

tasveer

Tum par kuch likhungi, Toh afsaana ban jaayega,Bin miley yeh haal hai,Milne ka bahaana ban jaayega,Apni tasveeron se kaho,Zara Kam meherbaan hon mere khayalon pe,Khaamakha Dil tumhara deewana ban jaayega.

amar

Arre abhi shayari shuru Kahan Kari,  Humein agar mohabbat ho jaaye aapse, Toh bas chandd lafzon se aapko, Hum yun hi amar kar dein.  Waah . Kya likha hai bhaisaab. I'm good.

tukde

Khud ko toot-te bikharte , main har raat dekhti hun, Samet-ti hun khud ke tukde, aur  phir nayi shuruwaat har roz karti hun, Har din dekhti hun rasta tumhari ek khabar ka, Aur dhoondhti hun koi ilaaj main apne har Darr ka, Ki tumko kho kar karaar ek pal na aaya, Ek lamhe ko na chodd saka tumhare khayalon ka saaya, Tumhari tasveerein bhi jala di, Par jalti hun main khamakha kyun, Tumhari ummeedein bhi chodd di, Par maangti hun ab bhi tumko kyun, Kya meri mohabbat itni be-asar thi, Tum toh kehte thhe main zindagi thi, Aadat thi, tumhara Ghar thi, Mujhe mujhse beghar kar tum chain se sote kaise ho, Mujhe itna Tod kar, mere tukdon par tum chalte kaise ho, Ek burra khayal nahin nikalta, bad-dua dur ki baat hai, Par sach toh yeh hai ki mere pyaar ki yahi aukaat hai, Tum kehte thhe manaane aaoge tum agar main na aayi, Tumne toh bandh kar diye darwaaza dekh meri parchaayi,  Kahan jaaun kis se ardaas karun, Kaise main khud ko ab maaf karun, Tumhe chahna ab log meri galti bataate hain, Hanste Ha

arsa

Din toh guzar jaate hain, par, Yeh raatein meri dushman hain, Tere khayal kisi puraane cassette ki tarah, Mere dil - o - dimaag mein bajte hain, Kisi gaane jaise nahin, shor se lagte hain, Main na rok paati hun inhe, Na aage badhaane ya badalne ka koi tareeka milta hai, Main har raat khud hi se laddte jhagadte, Thodi aur khud se nafrat karte karte,  Neend ko rijhaane ki koshish karti hun, Har baar haarti hun, toot-ti hun, Par phir bhi khud se milne ki khwahish karti hun, Tumhe agar milun kisi mod pe, Toh mujhe mujhse zarur milwa dena, Ki ek arsa hua aayeene mein dekh muskuraaye huye. Medhavi  04/05/24

kismat

Na-ummeed tha dil us raat ke baad, Soche baitha tha kahoge tum wahi ek baat, Ki bhool jaana yeh sab kisi khwaab ki tarah, Par tumne jab mere maathe ko  choom kar mujhe jagaaya, Sukoon bhari neend se  itne pyaar se Jo daaman chuddaya, Toh lafz gum thhe, Nazrein jhuki si thi, Tumhe dekhna tha, Par sharm ki paabandi bhi thi, Aur tum jab mere kuch aur kareeb aaye, Tham gayi har saans,  Kahan mujhmein us waqt koi sudh budh thi, Na maine koi vaada maanga, Na tumne di koi tassalli, Tumne bas yun hi raasta badla, aur Maine kismat par hamari kahani chod di, Medhavi 02/05/24

giraft

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

afsos

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

saath

Maine aksar tanhaayi mein  tumhari sadaayein suni hai, Apni saanson mein ghulti  tumhari saansein buni hain, Aadhi neend mein paas apne  tumhara chehra dekha hai, Tumhari khushbu ko apne badan mein  ghar karte dekha hai, Koi sunega toh sochega,  Kya yeh ek hi mulaaqaat thi, Kyunki mere liye toh woh kuch ghante, Sau sadiyon ki baat thi,  Tumse kahungi agar toh deewana samjhoge mujhe, Isliye yeh baatein ab Tak sirf mere saath hain.  Medhavi 01/05/24

likha

Tumse juda ho kar, Jo bhi ghazal maine suni,  Un sa ek antra maine tumhare liye likha,  Jis bhi raaste se main guzri,  Maine tumhara naam apne zehen mein likha, Jis bhi mandir dargah mein maine dua maangi, Toh us har dua mein tumhara achcha hi likha, Jis bhi rang ko maine chuna har din, Tumhari Nazar se maine har baar khud ko dekha,  Tumse nafrat karun, yeh baat bahut baar sochi, Par tumse mohabbat itni thi ki dil ke aage dimaag hazaaron karodon baar haara,  Toh maine zindagi tumhare naam kar di, Aur har saans ko bhi tumhare naam kiya.  Medhavi  30/04/24

you left me on read

'You left me on read' Seconds after texting you the last goodbye, I was holding my phone and waiting for your response, My hands were shaking, my heart was pounding, I saw you were online and then offline without a word, I held my phone for hours, even while working, Because I didn't want to miss even a message that might send and then 'delete for everyone'.  I remember holding my phone while I passed out,  And waking up with every vibration and sound,  Pinning your chat on top and  looking at my phone day & night, Getting drunk and senseless but only feeling my hand, Because it held the phone,  Taking a bath and still looking at our chat, But, no, you didn't care to respond.  You left me on "read" - Part 1 -  * You left me on read *  Another day, same longing,  For that customized notification sound, For those stickers that expressed how you felt. Still the same question in my mind, How are you able to do this ? Is moving on from me so convenient?

depression

Depression is not a 'phase' !  The same story on loop, Lonely days, lonelier nights,  Sleeping with four cushions, And re-thinking what's right... Looking at old pictures, And smiling alone,  Eating dark chocolate, And looking at my unlocked phone... No calls, no messages, no notifications too,  I couldn't move on, how could you?  In such nights, I hope for an unexpected call,  If not from you, then from a friend... Why is everyone busy, why has everyone changed,  Why does everyone want to meet on occasions and reunions,  Why have I lost my friends in this crowd of millions... This night is long just like every other night,  And I can't sleep or think positive like things are alright,  Because they aren't and nobody can see,  All they see is my smiling face,  It's so easy to hide but sorry I can't let it be,  I have to let it out and I have to face,  I know its hard but it's harder to be fake... I'm living with it what is termed as 'depressio

sach

Tum Sach thhe ya jhooth thhe, Yeh aksar khud se poochti hun main, Tasveerein haath mein hoti Hain lekin,  Phir bhi Shaq sa karti hun main, Jo itna gehra tha kabhi,  Itna khokhla kab ho gaya, Jo itna apna tha kabhi, Iss kadar ajnabee kab ho gaya... Yeh sawaal be-jawaab hain, Aur uljhanein ab bhi be-hisaab hain, Koi dil toddne ko dil lagaata kyun hai, Koi dur jaane ko paas aata kyun hai, Koi sehra mein barsaat sa hai kyun, Is toote rishte mein yeh gaanth hai kyun, Kyun khwaabon mein tum aate ho ab bhi, Sab chhal tha, phir kyun rulaate ho ab bhi... Tumhe lautna nahin yeh jaanti hun main, Phir kyun bahaane bana tumhare peeche bhaagti hun main, Aur har raat yahi sochti hun main,  Tum Sach thhe ya jhooth thhe,  Tasveerein haath mein hoti Hain, Phir bhi Shaq sa karti hun main... Medhavi 05.04.17

tasveer

Aaj tumhari tasveer daraaj mein paddi mili,  Ajeeb laga thoda, kyunki tum mujhe ajnabee se lage, Hamari pehli aur aakhiri mulaaqaat beeti sadi si lagi,  Tumhara chehra zaroor nazar mein dhundhlaaya zara, Ashq lekin ek bhi na meri aankhon ko chhoo saka, Woh har lamha jo tumko bhulaane mein guzaara, Uska ek ehsaas yaad karne se bhi na yaad aaya, Tasveer maine waapas daraaj mein nahin rakhi,  'Geet' ko yaad kar ke, jala kar flush kar di,  Aur khud ko dekh aayeene mein main muskaayi,  Yeh dekh kar, ki main mujhmein phir laut aayi.  - Medhavi 01/04/24 

abhi

Kabhi kabhi tumhari bahut yaad aati hai,  Phir yeh bhi yaad aata hai,  Ki tum is duniya mein nahin ho. Main aksar in taaron mein tumko dhoondhti hun, Kyunki tum meri nigaahon ke,  Nazaaron mein nahin ho. Tumhari khushboo kuch bhool gayi hun main,  Par tumhari aawaaz har roz sunti hun,  Tumhari aahatein ab sunaayi deti nahin,  Par tumhari baatein yaad rakhti hun.  Kabhi kabhi aisa bhi lagta hai,  Ki tum mera khayaal rakhte ho,  Jab main roti hun tanha,  Tum bebas ho kar mujhko takte ho.  Main kehti hun aksar tanhaayi mein,  Ki saamne aa gaye tum toh main ghabraaungi nahin, Yun akele deewaron se baatein karte karte,  Thak gayi hun kyunki yeh tum Tak pahunchengi nahin.  Tumhe hona tha yahan paas mere,  Jab zarurat thi, ya nahin bhi,  Tumhe jeena tha saath mere,  Par ab chaah kar bhi faayada nahin.  I miss you Abhi.  Rest in Peace. 

nahin suna tha

Ab kabhi tum mil gaye,  Toh shayad mujhe sahi lafz kya,  Sahi Nazar bhi nahin milegi,  Tumse kehne ko ek bhi baat nahin bachi mere paas,  Tumhe yaad kar ke sirf saans lene ke liye har raat baaki hai,  Tum bhool gaye mujhe jab tumhe mujhe yaad rakhna tha,  Tumne mujhe jaane Diya jab tumhe mujhe apne saath rakhna tha,  Ab koi fariyaad, koi ummeed nahin hai tumse,  Aur yahi baat Mera Dil har pal Zara aur todti hai,  Hum kabhi nahin milenge ab kabhi, kabhi saamna nahin hoga tumse,  Aur yahi baat tumhe samajh aayegi, bas thoda aur waqt lagega,  Tumhe bhi yaad aayegi meri,  Aur har darwaaza bandh milega,  Tumhare bhi haath lahu- luhaan honge,  Par koi darwaza nahin khulega,  Main tumhe jitni burri aur galat lag rahi hun abhi,  Utni hi achchi aur sahi bhi lagungi,  Jab koi aur tumse mohabbat se baat karega,  Par tum har shaqs mein mujhko dhundhoge,  Is baar main nahin lautungi,  Aur tum yeh baat yaad karna,  Ki maine kaha tha aur tumne nahin suna tha.

depression

This is for all those who take depression lightly... Who think that the people around them who smile all the time are happy... Who think depression is overrated... Guys.. I'll just request you to ask once more.. if your friend/relative/colleague/partner/employee etc.is fine or not...  Aaj aayeene pe nazar gayi,  To khud ki muskuraahat kuch jhoothi si lagi,  Mann mein shor tha bahut,  Par aankhein nam na thi. Almaari khol ke dekha,  To har rang feeka sa laga,  Mera peela dupatta bhi,  Aaj saada sa laga.  Samajh na saki kuch der,  To bistar par baith gayi,  Socha Zara der,  Aur Dil tatolne lagi.  Dhoondha har kona par karaar na mila,  Waqt tha, par poochne ko khud se sawaal na mila.  Tayyaar hone lagi to laga, Chehre par aaj kuch na karun,  Kajal se sooji aankhon ko main na bharun,  Rang birange jhumkon se khayaal maun na honge,  Ki aaj ke din bahaanon se main khud ko na behlaaun.  Nikal padi main Ghar se har din ki tarah,  Logon se mili muskura kar har din ki tarah,  Ek dost ne puch

khat✌️

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama nahin, Na aage b

Aaj phir unhe sath dekha 🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama nahin, Na aage b

gajra ✌️

Tere diye gajre ki khushboo se uthi main Aaj subha,  Jab shaam ko lauti toh darwaza kholte hi phir mera kamra mehek utha,  Na chahiye mujhe heere motiyon ki saugaat tujhse,  Tu bas apni aawaaz se bajte jhumke de diya kar mujhe,  Na chahiye sone ke kangan ya haar mujhe,  Tu bas apne haathon se chaantte huye gajre de diya kar mujhe.  - Medhavi  - 03/03/24

khwaab 🌸

Maine khwaab mein maanga tha ek saath aisa,  Jiske saath rahun bhi toh Lage khwaab jaisa... Jo sach hota bhi dikhe,  Aur tootne ka darr bhi de,  Jo har lamha haseen dikhe,  Aur mujhse khoob lade... Jo tohfe mein laaye mere liye jhumke,  Aur mere saath khaane chale golgappe,  Bason mein bhi ghoome,  Aur chal padde bas yun hi haath pakde pakde... Woh khwaab tum hi toh ho,  Jo sach hota bhi dikhta hai,  Par dur sitaaron sa chamakta hai,  Jisse choo lun toh kuch pal main hoti hun Roshan,  Par door hote hi lamha lamha pighalta hai... Tum manzil ho par raasta zara kathhin sa lagta hai,  Bas tumhara saath ho toh achcha waqt bhi mumkin sa lagta hai... Toh vaada karo na,  Ki aise hi pyaar nibhaaoge ?  Jab mere baal chaandi se ho jaayenge,  Tab bhi tum mujhe sone sa nihaaroge ? Vaada karo na, ki chaahe sau khwaab aur toot jaayein,  Yeh wala khwaab nahin tootega ?  Aur tum ek din mere khwaab se Haqeeqat ban jaaoge ?  - Medhavi  18/02/24

love🌸

This one’s from the heart 🫶🏼 READ CAPTION  For the longest time I believed in the magic of love. I still do but I used to believe differently. I used to believe after watching all these Rom - Com films and reading all those mushy novels that if you love a person, you can change them. It took me years to understand that love changes you when you value it. Love is not always reciprocated. Some people claim to love you because they like being loved by you. It takes a long time to understand that they take more from you and don't give you enough.  Friendships, Relationships and thankfully troubles and hard times, nothing is permanent. Everything is perishable if not taken care of and not protecting yourself in the process. Take care of your relationships but when they don't reciprocate, let them go. Don't force relationships. Nothing is permanent. Thankfully, memories are.  Most times while moving on from any kind of trauma, we often forgive the person. But more importantly i

aakhiri raat 🌸

Aaj is aakhiri raat par,  Un sab raaton ka shukriya,  Jab jab tumne mujhe khud ko pyaar karne diya,  Un sab raaton ka shukriya,  Jo tumhare khwaab le kar soyi,  Un sab raaton ka shukriya,  Jab tumhe dekhte dekhte mujhe neend aa gayi,  Un sab raaton ka shukriya,  Jo tumhe agle din Milne ki ummeed se kati,  Un sab raaton ka shukriya,  Jo Maine tum bin tum sang rehne ko kaati,  Un sab raaton ka shukriya,  Jo tumhari meri zindagi mein hone se jaagi,  Un sab raaton ka shukriya,  Jab tum dur ho kar bhi mere thhe,  Un sab raaton ka shukriya,  Jab vaade sapne iraade sirf tum se thhe.  Medhavi 29/01/24

mat dhoondhna🌸

Mujhe tum phir mat dhoondhna... Us kitaab mein dabe sookhe gulaab ki dhool mein,  Us puraane jacket ki jeb ki ched mein fanse bees ke sikke mein,  Us behetreen gaane ke sabse dard bhare lafz mein,  Apne kamre ki daraaj mein padde us puraane khat mein,  Tumse Milne Wale har ek shaqs mein,  Apni mohabbat paane ki sarhad mein... Shayad phir tum padhoge mere likhe afsaane,  Sunoge mere recorded baatein aur anginat gaane,  Shayad mere ghar ke saamne tumhare kadam ruk jaayenge kabhi kabhi,  Toh kabhi mere naam se kisi ko bulaane ki karoge galti... Par mujhe bhool jaana.  Kyunki yaad rakhne ki baatein saikaron hongi,  Par sach yahi rahega ki hamari manzilein juda hongi... Toh mujhe tum phir mat dhoondhna,  Kyunki shayad Jo hum mein tha, woh kaafi nahin tha,  Aur Jo chahat thi, woh hum mein ek si nahin thi,  Bas yeh soch kar mujhko apne khayalon se jaane dena,  Phir se mohabbat ko apni taqdeer par muskuraane dena...  Medhavi  26/01/24