🫧Sushant Singh Rajput
Yeh jo bhi ho raha hai, Hamare aas paas, Woh saamne bhi tha, Par tumne dekha nahin, "Depression" hai hi aisa, Ki aasaani se dikhta nahin. Meri hansi ke peeche, Chupi thi udaasi meri, Gum hoti thi pehchaan, Jaise har pal halki halki. Subha bistar se nikalna, Kisi khabar se khush hona, Kisi se mil kar baat karna, Apne mann ke rang ko utaarna, Mujhe mushkil lagta tha. Yeh mujhe samajh zara der se aaya, ki mujhmein kuch badal raha tha, Mujhmein main nahin tha, aur khud ko dhoondhne ki himmat na thi, Thhe bahut chaahne wale, Par mere dil ka kamra khaali tha, Chaar kadam par ek dost tha, Par dooori meelon si lagti thi Chhillaana tha kayi baar, Par chuppi maine saadi thi, Waqt marham hai, suna tha, Par har guzarta pal jaise meri barbaadi thi... Bas ek din zindagi se mann sa oob gaya, Sagar jaise mere burre khayaalon mein doob gaya, Maine khud ko haarte huye, Apni nazar ...