aajkal
Tum kishton mein yaad aate ho aajkal, Kabhi hawa ban kar, Kabhi baarish ki tarah, Kabhi dhoop ban kar, Kabhi kohre ki tarah... Tum khayaalon mein rehne lage ho aajkal, Kabhi sawaal ban kar, Kabhi ban kar shayari, Kabhi hansi ban kar, Kabhi ban kar mausiqi... Tum saath chalne lage ho aajkal, Kabhi saans ban kar, Kabhi ban kar parchaayi, Kabhi neend ban kar, Kabhi ban kar aashiqui... Tum khwaabon mein aane lage ho aajkal, Kabhi guzra waqt ban kar, Kabhi ban kar seher ki oas, Kabhi aane wala kal, Tum yaad aate ho har roz... Khud ko yaad dilaana paddta hai, Ki yaad na karun main tumko, Tum zindagi ban guzarne lage ho mujhmein aajkal, Kaise na pyaar karun main tumko ?