Date: Wednesday, 3 August, 2011, 4:35 PM A poem that I wrote for Malhan's birthday :-) Aaj subah phir jaldi uthna hai, lagta hai aaj phir ek yaadgaar din banna hai, Phir aaj nau baje ki class hai, cab mein phir honi koi bakwaas hai... Cab mein shayad aaj bhi HITASHA late aayegi, lagta hai aaj woh tiffin mein fir paav bhaaji laayegi, SAKSHI ko uske gate se pick karna padega, uss se chaadar aur paani ki bottle ka order dena padega, SHRUTI ne phir shayad koi nayi shopping ki hogi, woh apna naya top pehen ke aati hogi... MEDHAVI ki kahaaniyaan play karne ka time aa gaya hai, lagta hai aaj koi naya plan banne wala hai, BHARTI shayad aaj phir karegi kissiki acting, aur hum karenge SAKSHI se fir kissiki setting, MALHAN ko koi competition mein aaj jaana hoga, cab ko ghumaane ka HITASHA ka naya bahaana hoga... Aaj shayad fir baarish hogi, hamari cab fir traffic jam mein fans ja...