Posts

Showing posts from April 6, 2015

Uljhi Yaadein...*

Aaj apne kamre mein,  phir teri yaadon ko Ek doosre se uljha hua paaya maine.  Kuch tohfe,  unmein kahin jame huye kuch adhoore aur mukkammal lamhe.  aur kayi sanjoye huye sapne, sab,  sab uljhe huye thhe ek doosre se... Ek pawan jhankaar (windchime),  ek katta katta sa laal parda (wall partition curtain)  aur upar lagi tasveer ka frame unmein ulajh kar toot gaya tha.  Un tukdon ko samet-te huye aur uljhanon ko suljhaate huye,  na jaane kab mann yaad sheher chal diya... Yaad aaye woh din jab zindagi ka matlab tere hone se thha,  har muskuraahat tere naam se thhi.  Har din yaadgaar tha, har raat khushnaseeb thhi,  har zarra qaayanaat ka,  jaise tere mere naam ho rahi ek saugaat thha.  Khushi ka thikaana shayad aasmaan mein gum tha kahin,  khud ki nazar na lag jaaye,  issi darr mein rehte thhe hum yun hi. Par ab haqeeqat kuch aur hai,  raahein kuch aur hain,  woh baatein bas naam ki thhi,  woh raatein guzarti shaam si thhi.  Sab kha