Posts

Showing posts from August 3, 2021

sukoon🌸

Sukoon ho tum,  Mera ghar ho tum,  Tumhe dekh kar bas yun hi,  Aankhein nam ho jaati hain,  Ab bhi tasveerein dekh kar tumhari,  Meri aankhein muskuraati hain... Meri subha, meri shaamein,  Mere din, meri raatein,  Mere khwaab, meri neendein,  Mere kamre ki choti choti cheezein,  Sab tumhare khayaalon ko dohraati hain,  Tumse bematlab bewajah har din thodi aur mohabbat ho jaati hai... Tum dur ho kar itne,  Kaise mere dil ko chu jaate ho,  Kaise mujh mein doob kar,  Mujhe har din apna deewana banaate ho,  Tumhe paane ka hausala har din badhta jaata hai,  Ek hi khwaab kayi baar mera zehen mujhko dikhaata hai... Tum mujh mein kuch is tarah ho,  Ki main khud ki talaash mein hun aajkal,  Jo dekhti thi, padhti thi,  Kuch waise ishq mein main hun aajkal... Tumhara mausam meri saanson mein utarta hai aadat ki tarah,  Aur tumhara wajood mere naam se judta hai ibaadat ki tarah... Har din tumse puchte nahin thakti, ki mujhe chorr to nahin doge,  Par tumhara Siva ab to khud par bhi nazar nahin tik