Posts

Showing posts from February 26, 2023

jaanti hun main🌸

Jaanti hun main... Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Yeh sochte sochte tujhpar ghazal likh rahi hun main... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Aaj Phir khud par hans rahi hun main... Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main..  Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main..  Bas phir tujhko dekh kar tujhse aur mohabbat kar rahi hun main... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Phir bhi tere naam ka kalma phir se dohraa rahi hun main Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Phir bhi apne aaj se kal ko tabaah kar rahi hun main.. Medhavi