Posts

Showing posts from October 13, 2023

not enough🌸

You just didn't love me enough  Seven years ago when we met,  I didn't know, neither you did,  That our paths will cross again,  And you will fall for someone like me... Someone as broken as I was then,  Tired of love, tired of being unloved.  And we met again when things were worse,  I had put my heart in jeopardy for someone else,  And was shattered but you still held me.  5 years of your patience,  5 years of your love,  But today I want to say that,  You didn't love me enough.  You said you find it hard to express,  And I waited for that one day when you would, You said you'd fight the world for me, And I waited for that one day when you would... You gave up too late,  Or you gave up too early,  I wasn't prepared,  We weren't done,  But between us there were always your demons, And you and your demons never believed in miracles.  Your practicality killed my dream - lit love,  Your pragmatism killed all my goals for us,  It was always black and white for you,

ghar🌸

Sukoon ho tum,  Mera ghar ho tum,  Tumhe dekh kar bas yun hi,  Aankhein nam ho jaati hain,  Ab bhi tasveerein dekh kar tumhari,  Meri aankhein muskuraati hain... Meri subha, meri shaamein,  Mere din, meri raatein,  Mere khwaab, meri neendein,  Mere kamre ki choti choti cheezein,  Sab tumhare khayaalon ko dohraati hain,  Tumse bematlab bewajah har din thodi aur mohabbat ho jaati hai... Tum dur ho kar itne,  Kaise mere dil ko chu jaate ho,  Kaise mujh mein doob kar,  Mujhe har din apna deewana banaate ho,  Tumhe paane ka hausala har din badhta jaata hai,  Ek hi khwaab kayi baar mera zehen mujhko dikhaata hai... Tum mujh mein kuch is tarah ho,  Ki main khud ki talaash mein hun aajkal,  Jo dekhti thi, padhti thi,  Kuch waise ishq mein main hun aajkal... Tumhara mausam meri saanson mein utarta hai aadat ki tarah,  Aur tumhara wajood mere naam se judta hai ibaadat ki tarah... Har din tumse puchte nahin thakti, ki mujhe chorr to nahin doge,  Par tumhara Siva ab to khud par bhi nazar nahin tik

bambai🌸

[14/2/2022, 11:48 pm] Dr. Medhavi: Bambai,  Kehte hain ki bambai sapnon ki nagri hai,  Par mere liye toh hamesha Mera sukoon ghar hai,  Pichle hafte main phir gaya tha Bambai, apne ghar, apne nagar,  Itni baar 'apna' keh raha hun,  Kyunki dooriyaan hi apnon ki ehmiyat ko samjhaati hain,  Aur yeh ehsaas dilaati hain ki waqt kisi ke haath mein nahin hota... [14/2/2022, 11:51 pm] Dr. Medhavi: Bambai ki choti choti baatein yaad aati hain,  Jaise aadhi raat ko local train mein Safar karna,  Marine drive par yun hi chalte huye hawa ko mehsoos karna, Samandar ki khushboo, Aur dhundhlaati huyi lehron ki aawaaz,  Auto walon se kisse baantna aur, Apne sheher mein mehfooz hone ka ehsaas... [14/2/2022, 11:58 pm] Dr. Medhavi: Kayi baar toh bambai ke paani se baal dhona yaad aata hai,  Toh kabhi tapri ki cutting chai,  Baba falooda ya prithvi ke paraanthe,  Har jagah Dil ka ek chota sa tukda basta hai,  Bambai chorrte waqt bhi yahi sawaal tha,  Aur ab bhi hai, ki kyun chorrne padde yeh jaane

thokar 🤞

Thokaron ki aadat mere har kann ko aisi paddi,  Ki andhere se ab mujhe darr nahin lagta... Itna kuch haar chuki is ek zindagi mein,  Ki kuch khone se ab mujhe darr nahin lagta... Haan jab kabhi koi muskura deta hai bewajah,  Ya kar deta hai kuch mere liye, Kabhi gulaab,  toh kabhi koi tohfa le aaye bewajah,  Ya yun hi gale se laga le kabhi,  Toh zara sehem jaati hun main  ek muskurahat ke peeche, Dil kahin dafn kar leta hai khud ko  pichle dhokon ke neeche... Ki ab Karo baat dur se,  Kareeb na aao hamare,  Toote tukde hamare, Kahin tumko hi chubh na jaayein   Medhavi  14/10/23