Posts

Showing posts from August 31, 2016

Kya tumko bhi...*

Kya tumko bhi... Kya tumko bhi dooriyon ka ehsaas hota hai Ya woh andaaza bhi takra kar mere hi paas laut aata hai... Kya tumko bhi aisa lagta hai mujhe gale lagaate waqt Ki dhadkanon ka safar ek hi tarfaa reh jaata hai Ya ab kareeb aana bhi jaise tumhare liye ek samjhautaa hai... Kya tumko bhi khwaab wali mulaaqaatein zaada sach si lagti hain Ya yeh bhi bas mere hi dil ka afsaana hai... Kya tumko woh pehle jaise haath pakadne ko dil karta hai Ya bas yeh mere hi dil ka ankahaa sa Armaan hai... Kya tumko bhi lagta hai ki mohabbat kabhi dene ki zarurat hai Ya ab bas aadat si ho gayi hai tumhe sirf paane ki... Kya tumko bhi humein chorr ke jaane ka khayaal aata hai Ya yeh bhi vehem hai mera ki wajah dhundhte ho tum dur jaane ki... Kya tumko bhi iss saath se juddi judaayi ka ranjh o ghum sataata hai Ya yeh bhi koi aur tumko kisi aur andaaz se samjhaata hai... Kya tumko bhi meri aankhon mein dekh talaash rehti hai bekaraari ki Ya meri tarah tumne bh