Kya tumko bhi...*

Kya tumko bhi...

Kya tumko bhi dooriyon ka ehsaas hota hai
Ya woh andaaza bhi takra kar mere hi paas laut aata hai...

Kya tumko bhi aisa lagta hai mujhe gale lagaate waqt
Ki dhadkanon ka safar ek hi tarfaa reh jaata hai
Ya ab kareeb aana bhi jaise tumhare liye ek samjhautaa hai...

Kya tumko bhi khwaab wali mulaaqaatein zaada sach si lagti hain
Ya yeh bhi bas mere hi dil ka afsaana hai...

Kya tumko woh pehle jaise haath pakadne ko dil karta hai
Ya bas yeh mere hi dil ka ankahaa sa Armaan hai...

Kya tumko bhi lagta hai ki mohabbat kabhi dene ki zarurat hai
Ya ab bas aadat si ho gayi hai tumhe sirf paane ki...

Kya tumko bhi humein chorr ke jaane ka khayaal aata hai
Ya yeh bhi vehem hai mera ki wajah dhundhte ho tum dur jaane ki...

Kya tumko bhi iss saath se juddi judaayi ka ranjh o ghum sataata hai
Ya yeh bhi koi aur tumko kisi aur andaaz se samjhaata hai...

Kya tumko bhi meri aankhon mein dekh talaash rehti hai bekaraari ki
Ya meri tarah tumne bhi khud ko Na jaane kab kho daala hai...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸