P Uljhan...*

Ek thamaa hua lamha
Ek naakaam si koshish
Ek guzra hua manzar
Ek aane wala kal
Ek khaamosh si guftagu
Ek naamumkin si justaju
Ek benaam sa rishtaa
Ek bhoola hua kissaa
Ek andheri gali si
Ek bujhta sa diyaa...

Kuch nazaron ki uljhan
Adhoori mulaaqaatein
Kuch kaanch se naazuk
Adharon ki baatein
Kuch hasraton ke tukde
Sach se phir takraaye
Kuch saanson ke zarre
Tere itr se phir chot khaaye...

Yeh kaun sa manzar
Yeh kaun si manzil
Yeh kaun sa mukhautaa
Phir zindagi ne pehna
Jis se bhaagte aaye
Daaman churra kar
Woh phir piro baitha
Dil dhadkanon se....

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸