Posts

Showing posts from April 26, 2016

P. Ishq...*

Ishq ke usool kabhi kitaabi baaton se nahin seekhe Maine Bahut kiye kharch jazbaat is dil ke saudon mein har baar Maine Diye mauke anginat aur aitbaar toot-te huye dekha Sochi thhi jannat aur dil ko bazaar mein lut-te huye dekha Phir bhi ishq ko Na kosaa kabhi Na kosaa apni taqdeer ko Saji rehne Di dil ke darwaaze par Ummeed ki tasveer maine Darpan se Na ki shikaayat Na kabhi dareeche se jhaank kar dekha Bas ek khwaab Maine yun hi Har subha saanjh dekha Ishq ko ishq mil jaayega Tham jaayenge toofaan Raat guzar jaayegi yun hi Aur Phir niklegi ujli si subha Medhavi 

Khat..*

Kuch Teri khushboo mein bheege thhe Kuch teri ungliyon se lipte thhe Unn khatton ke purjon mein Maayeene hazaar bikhre thhe Kuch lafzon mein muskuraahatein aaj bhi dikhti hain Tere haath ki haraaratein aaj bhi mehsoos hoti hain Kuch lafz Jinhe ashqon NE dhundhla kar diya thha Kuch lafz Jinhe raaton NE jawaani bakshi thhi Unn sabko samet kar dheere dheere Main aaj phir Tera likha khatt padh rahi Hun Shayad sirf nafrat hai ab iss dil ke har zarre mein mere Aur ab is nafrat se mohabbat ka aakhiri usool poora kar rahi Hun.. Medhavi