Posts

Showing posts from November 18, 2015

Revise. Raah...

Ho tum aadat ya mera junoon ho Dard ki wajah ya mera sukoon ho... Faasla chahti hun par judaayi se darti hun Khaamoshi chahti hun par tanhaayi se darti hun... Jaa rahe ho tum dooor mujhse Kuch yeh dil ghabraata bhi hai Aana hai laut kar paas mere hi Yeh khud ko dil samjhaata bhi hai... Kab bandh gayi dor yeh saanson ki tumse pata na chala Iss khayaal mein yeh dil waqt guzaarta bhi hai Tumhari kami khalegi yeh jaanta bhi hai Tumhari mohabbat saath rahegi yeh maanta bhi hai... Phir bhi dil karta hai tumhara haath pakad kar rok lun Tum ja na sako, koi bahaana bana ke rok dun Par kahin na kahin yeh bhi haqeeqat ke aayeene mein dikhta hai Ki dooori se jo beasar ho kuch aisa hamara rishta hai... Toh jaao mujhse dooor tumhe de di maine arzi Yaad karna mujhe ya bhool jaana tumhari marzi Bas itna rakhna khayaal ki koi hai tumhare intezaar mein kahin bahut dooor Jo har raat tumhara khwaab liye sota hai Jo tumhe yaad kar kar har dusre lamhe rota hai Aur koi jo tum