Revise. Raah...

Ho tum aadat ya mera junoon ho
Dard ki wajah ya mera sukoon ho...

Faasla chahti hun par judaayi se darti hun
Khaamoshi chahti hun par tanhaayi se darti hun...

Jaa rahe ho tum dooor mujhse
Kuch yeh dil ghabraata bhi hai
Aana hai laut kar paas mere hi
Yeh khud ko dil samjhaata bhi hai...

Kab bandh gayi dor yeh saanson ki tumse pata na chala
Iss khayaal mein yeh dil waqt guzaarta bhi hai
Tumhari kami khalegi yeh jaanta bhi hai
Tumhari mohabbat saath rahegi yeh maanta bhi hai...

Phir bhi dil karta hai tumhara haath pakad kar rok lun
Tum ja na sako, koi bahaana bana ke rok dun
Par kahin na kahin yeh bhi haqeeqat ke aayeene mein dikhta hai
Ki dooori se jo beasar ho kuch aisa hamara rishta hai...

Toh jaao mujhse dooor tumhe de di maine arzi
Yaad karna mujhe ya bhool jaana tumhari marzi
Bas itna rakhna khayaal ki koi hai tumhare intezaar mein kahin bahut dooor
Jo har raat tumhara khwaab liye sota hai
Jo tumhe yaad kar kar har dusre lamhe rota hai
Aur koi jo tumhari raah har lamha dekhta hai...

Medhavi
18.11.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸