Posts

Showing posts from January 30, 2016

Chhoota hua lamha... *

Ek lamha chhoot gaya, Bahut si anginat gehraayiyon mein... Kuch labhon ki surkhiyon mein Kuch gesu-on ki uljhanon mein Kuch badan ki silwaton mein Kuch saanson ki behadh hadhon mein... Kuch khushbu-on ke libaas mein chuppe dhuyein ki tarah Kuch khaamoshiyon ki aas liye be-baak baaton mein doobi aas ki tarah... Dabe paaon aa gaya katra katra kuch nazdeek Bikhar gaya ek lamhe mein jo lagta thha ab tak theek... Kuch tujh mein madhosh ho gaye Aur hosh apne kho diye Galat sahi se pare teri oar Na jaane kyun uss lamhe tere ho gaye... Na jaaye tu uss raat kya, kabhi bhi mujhse Is khayaal ke khayaal ka sawaal hi na tha Mulaaqaat thhi pehli aur koi bahaana bhi na tha Jaate huye dekha tujhe mudd mudd kar yun humne Jaise tere waapas aane ka intezaar hamesha se hi tha...