Posts

Showing posts from October 17, 2020

nasha✌️

Sharaab se ab nasha nahin hota mujhko Tu tasavvur mein kuch is kadar rehta hai Ki kadam saath nahin dete kabhi kabhi Par tera khayaal har saans se yeh kehta hai Bhula do mujhe agar bhula sako Mitta do woh lamhe agar mitta sako Par hum rahenge yahin ghar basaa kar Khayaal khayaal par kabzaa kar Tadpaayenge bhi, sataayenge bhi Aur phir muskuraake naam tumhara pukaarenge Ki kya karein shikaayat unki khuda se Unki barbaad karne ki bhi adaa itni kaatilaana hai... Medhavi 18.10.15

waqt

Waffa ka yakeen thha, Waqt woh kitna haseen thha, Un aankhon mein sirf mera suroor thha, Tumko paa kar har zarra maghroor thha, Na jaane woh hawa ka jhonkaa kab aaya, Kahin kho gaya woh zariya ibaadat ka, Benaam ho gayi saari kasmein, Beghar ho gaye saikaron lamhe, Shamaa jalti rahi, waqt pighalta raha, Ummeedon ka daayara, ghat-ta gaya,  Ab bas kuch aadhi adhuri beeti baatein hain, Jo rooh ke darmiyaan kahin mehfooz hain, Aur aaj bhi har sheh par tera shukriya karne, Aur mohabbat tujhse karne mein, har zarra masroof hai... Medhavi 18.10.15

wo raat🌸

Woh raat... Aaj na jaane kyun phir teri yaad aa gayi, be-waqt, bin-baat ke, bas yun hi. Kamre ki dhundhli roshni mein, bistar par lete huye, kuch bhooli huyi raatein yaad aa gayi.  Kuch soch kar hassee aa gayi.. kuch soch kar rona aa gaya.. Yaad aayi woh raat jab phone par pehli baar ikraar hua tha.. woh raat jab main khushi se pehli baar royi thhi aur nam aankhon sang so gayi thhi.. woh raat jab hamari pehli ladaayi huyi thhi aur raat tumhe manaane mein guzar gayi thhi..  Woh raat jab hum kisi baat par itna hasse thhe ki ro padde thhe.. woh raat jab tumne pehli baar apni tasveer mujhe bheji thhi.. woh raat jab tumne kaha thha ki mere bina tum kuch bhi nahin aur maine saath nibhaane ka vaada kiya tha..  Phir woh raat yaad aayi jab yun hi phone par tumne bina kuch samjhaaye mujhe chorr diya thha.. woh raat jab sawaalon ki goonj mujhe paagal kar deti thhi.. woh raat jab khud ko shaant karne ke liye khud ko sazaa dene ki aadat lag gayi thhi.. woh raat jab phir nam aankhon sang soyi thhi..