Posts

Showing posts from January 26, 2018

Uss raat

Uss raat ki parchaayi, Tumko bhi bhigoti hai Kya ? Jazbaat ki khaamoshi, Tumko bhi jhanjhodti hai Kya ? Jab neend ho aankhon mein, Phir bhi tum jagte ho Kya ? Beete us lamhe ko chhoone ko, Khayaalon ko raah dete ho Kya ? Maujoodgiyon se meri, Tumhare khwaab toot-te Hain Kya ? Ho Kar uski baahon mein, Mera aks dhoondhte ho Kya ? Jalte alfaazon ko jab waqt yeh hawa deta hai, Tum muskura kar yun, bheetar choor hote ho Kya ? Apni roz ki raahon ko, Mere Ghar ki oar ab bhi modte ho Kya ? Ab bhi aankhon mein kaid, Us raat ki khushboo hai Kya ? Aarzoo ka ikraar nahin lekin, Justajoo ka izhaar hai Kya ?

Lamha

Ek lamha tod ke rakha hai, Taqdeer se jhooth sa bol Kar, Tum apna lamha bhi jod kar rakhna, Aankhon mein bandh Kar ke rakhna, Ki waqt ki bauchaar aksar ashq ban jaaya karti hai, Isliye mera lamha apni taqdeer mein piro ke rakhna... . . . Medhavi .

Mudd ke

Mudd ke dekha Jo agar, To raahein bhatak jaayenge hum Par chalo ek pal than Kar, Is pal ko said Kar lein Zara... . . . Medhavi .

Kho jaane do

Kho jaane do kohre ke darmiyaan mujhe, Thikaana na poocho, manzil ka pata na poocho, Le jaane do raahon ko us paar, Jahan khud se mulaakaat karne ke liye, Ijaazat na leni pade... - Medhavi

Waqt nahin tha

Jab hasratein thi, waqt nahin tha, khwaab the saikaron par, unka duniya ki nihaahon mein koi Matlab nahin tha, ab hasratein bhi hain, aur khwaab poore karne ki chaah bhi, par inko baant-ne ya mukammal karne  ka waqt nahin hai... To kisi tarah aadhe adhoore khwaab kaid karne ki aadat daal Raha Hun, duniya ki raftaaron mein bhaagne ka saleeka seekh Raha Hun, waqt mein se waqt nikaal Raha Hun, aur do chaar puraani yaadein taaza Kar Raha Hun...