Waqt nahin tha
Jab hasratein thi, waqt nahin tha, khwaab the saikaron par, unka duniya ki nihaahon mein koi Matlab nahin tha, ab hasratein bhi hain, aur khwaab poore karne ki chaah bhi, par inko baant-ne ya mukammal karne ka waqt nahin hai... To kisi tarah aadhe adhoore khwaab kaid karne ki aadat daal Raha Hun, duniya ki raftaaron mein bhaagne ka saleeka seekh Raha Hun, waqt mein se waqt nikaal Raha Hun, aur do chaar puraani yaadein taaza Kar Raha Hun...
Comments
Post a Comment