Aarzoo
Woh choo Kar humein us raat Bhool Gaye agli subah Jise Maine samjha shuruwaat Woh thi unke liye bewajah Chand lamhon ke liye Jab maine khud ko aazaad paaya tha, kho Kar panaahon mein unki Hosh hi nahin, yeh Dil bhi gawaaya tha, Woh unke liye bas kuch fursat ke pal thhe, Hum bhi unke guzarne wale Kal thhe Unke Honthon ki haraaratein Jo Meri saansein ab Tak bhooli nahin Unke jism ki khushboo Jo ab Tak mere us raat ke kapdon se chhooti nahin Uski ungliyon ki chuan Jo Meri ungliyon ko zabaani yaad hain kisi aayat ki tarah, Aur woh raat Jo nibhaayi maine sachchi mohabbat ki tarah, Unke liye bas woh ek behka hua lamha tha, Mohabbat ki sejh par khwaab mera hi Tanha tha... Unki maujoodgi theher si gayi ehsaason mein zindagi ki tarah, Ab saans aati hai to unke ehsaason ko choo choo Kar, Ki unhone samjha nahin kaabil e mohabbat humko, Aur hum unke naam Yun hi apne saare khwaab Kar aaye... Ab naasamjhi kahiye ya deewanagi isko, Ki kuch haasil nahin, na-ummeed hai Dil bhi, ...