Posts

Showing posts from February 20, 2016

😑Do Kamre...*

Kehne ko do kamre hain mere Ek ghar mein aur ek hostel mein Donon kamron se ek tarah ki mohabbat si hai mujhko Ghar ka kamraa bachpan se baantaa tha apni behen ke saath kyunki baantna paddta hai Aakhir behen hai aur ghar thha chota sa Yahin issi kamre mein na jaane kitne saikron lamhe kaid hain ab bhi Har nazar mein ek yaad ki tasveer ab bhi rang bhar deti hai Aur hostel ka kamra bhi baantaa kyunki baantna paddta hai Magar ek cheez hai dono kamron ki khaas si Tanhaayee ki khushboo ek si hai Ghaddi ki tik tik ki aawaaz bhi Aur hawa se takraata hua ghum ka saaz bhi Shamaa wahan bhi jalti hai raat ki Katra katra kar pighalti hai aaj bhi Yaadein kal ki peecha karte karte Aa gayin hain kuch uss kamre se iss kamre tak Na jaane kab tak juddi rahengi wajood se Dard ki saugaatein Woh beeti huyi baatein Kamre shayad badalte rahenge Par yeh khushbuyein, yeh aawaazein, yeh saaz, yeh shamaa ki garmi, yaadein aur aakhiri aas.. rooh ke saath aage badhti rahengi Kuch aur humko p