Posts

Showing posts from December 28, 2015

P Saamna...*

Kuch baatein khud ki Main khud hi bhulaana chahti hun Magar bhoolne se pehle Kisiko bataana chahti hun Thoda darti hun Khud ki kamzoriyon se Thoda sambhalti hun Khud ki thokaron se Bahut si baatein aisi hain Jo bahut andar dafn hain Saanson ke kareeb hain Par guzar kar unse wahin thami hain Na jaane yeh kamiyaan khud ki Mere saamne ho kar bhi kab tak chuppi rahengi Jalti huyi yeh kamzoriyaan dil ke andar Kab tak chehre par bujhi rahengi Sochti hun koi miley aisa jo Mujhe sune aur kamiyon sang meri chaahe mujhe Sochti hun koi miley aisa jiss se Yeh sab baatein chupaani na padein Kab ban gayi itni kamzor main saamna karte karte aate jaate waqt ka pata na chala Bas mushkilon ke saath apna khud se bhi saath chhoot-ta raha Kisi ne aise chorra jaise hum kisi kaam ke na rahe Aur phir jisne bhi haath pakda, saath nibhaaya nahin Bhool gayi hun khud ko kuch is tarah ki darr hai shayad khud se hi Saari ummeedein bharosa mitt gaya duniya se kya khud se