P Saamna...*

Kuch baatein khud ki
Main khud hi bhulaana chahti hun
Magar bhoolne se pehle
Kisiko bataana chahti hun

Thoda darti hun
Khud ki kamzoriyon se
Thoda sambhalti hun
Khud ki thokaron se

Bahut si baatein aisi hain
Jo bahut andar dafn hain
Saanson ke kareeb hain
Par guzar kar unse wahin thami hain

Na jaane yeh kamiyaan khud ki
Mere saamne ho kar bhi kab tak chuppi rahengi
Jalti huyi yeh kamzoriyaan dil ke andar
Kab tak chehre par bujhi rahengi

Sochti hun koi miley aisa jo
Mujhe sune aur kamiyon sang meri chaahe mujhe
Sochti hun koi miley aisa jiss se
Yeh sab baatein chupaani na padein

Kab ban gayi itni kamzor main saamna karte karte aate jaate waqt ka pata na chala
Bas mushkilon ke saath apna khud se bhi saath chhoot-ta raha
Kisi ne aise chorra jaise hum kisi kaam ke na rahe
Aur phir jisne bhi haath pakda, saath nibhaaya nahin

Bhool gayi hun khud ko kuch is tarah ki darr hai shayad khud se hi
Saari ummeedein bharosa mitt gaya duniya se kya khud se hi
Yeh saari baatein bataaun bhi toh bataaun kisko
Jisko samjhaane ki kari koshish woh bhi karta raha humse gaddaari hi

Ab hans hans kar bewajah thak gaye hum bhi
Aankhon se ab aur jhooth bola jaata nahin
Ab yakeen yeh hone laga ki shayad yeh aitbaar hi jhootha hai
Zindagi mein zindagi nahin bachchi bas saanson ka samjhauta hai...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸