Posts

Showing posts from April 29, 2019

Ashq

ashq ashq aankhon mein samaaya tu, dur ho kar bhi kyun na juda ho paaya tu, khatta meri thhi ya tera kasoor thha, ya tu bhi meri tarah majboor thha, main wahin khaddi rahi barson, tune mudd ke na dekha dobaara, aage badhne ki aas liye chali main, toh tere khwaab aa gaya sataane, neend na aaye ab, khwaabon se bhaagun main, sochun tujhe aur saari raat jaagun main, iss taareekh ki hai khaasiyat ya meri kamzori, tujhe in ankon mein bhi basaaye ab tak jo baithi hun.. random creation :-) by Me :-) Somya Chatrath