Posts

Showing posts from February 25, 2016

🚩Mystery

You are the mystery that I never want to unfold, You are so beautiful in your own secret ways, I love the way you recite poetry through your eyes, The way you put forward all your different ideas, The way you quietly listen to me amongst the crowd, The way you gaze at stars to find a contstellation of your own, The way you flip your fingers around the glass that you hold, The way you sip your drink like a year's seasons pass by, Is it your smell that still lingers around my clothes, A bit around the sleeves, a little around the fur, You left so much with me without any intention, You made me fall or drown in you, I still cant express, But just to be precise and clear, You're unique in your own endless ways, You're the day, You're the night, You are everywhere... Medhavi

Kya Meri Tarah...*

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai, Guzre waqt ke khoye huye purzon ki, Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake.... Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai, Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si, Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein... Kya guzre afsaane bhula sake tum, Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah... Kya woh tohfe phek chuke tum, Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah... Ab aage badhne bhi do, Khwaabon mein aana chorr do, Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina, Saath jo mumkin nahin, Ab bhi kyun mannatton mein aata hai... Kyun ab bhi saaya tumhara, Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai, Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke, Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin, Na rakhenge bair koi hum , Na poochenge phir kyun bulaaya nahin, Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke, Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain... Medhavi

Woh Raat... *

Ho rahi thhi baatein Kuch iss tarah Ki hawa mein hasi ki goonj Aur darmiyaan dooriyon ki khushboo thhi... Kuch judaa kuch kareeb Yun hi gumshuda sa ek khayaal Jhooth aur sach ke beech jhoolta hua... Kuch khud par hasta Kuch khud se rooth-ta hua Khayaal se nikalta sawaal yun hi bin baat jhoomta hua... Kat gayi raat yun hi khaamoshiyon ki gufatagu mein Yun judd gayi ek raah ibaadat ki justajoo mein... Kuch sitaare jo chamke thhe uss raat aasmaan mein Ho gaye chaand ke kuch aur roobaroo kisi aur jahaan mein... Kuch baatein jo huyi shuru thhi baaton ke bunte jaal se Aaj judd gaye phir meri is daastaan aur aaj ke iss khayaal se... Phir likh rahi hun afsaana ussi raat ka Jispar likh chuki hun kitna ussi baat ka Woh hai khayaalon mein aaj bhi khud ko dohraata hua Hai anginat faaslon par phir bhi kareeb aata hua.... Medhavi