Kya Meri Tarah...*

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai,
Guzre waqt ke khoye huye purzon ki,
Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake....

Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai,
Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si,
Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein...

Kya guzre afsaane bhula sake tum,
Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah...

Kya woh tohfe phek chuke tum,
Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah...

Ab aage badhne bhi do,
Khwaabon mein aana chorr do,
Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina,
Saath jo mumkin nahin,
Ab bhi kyun mannatton mein aata hai...

Kyun ab bhi saaya tumhara,
Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai,
Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke,
Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin,
Na rakhenge bair koi hum ,
Na poochenge phir kyun bulaaya nahin,
Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke,
Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸