Posts

Showing posts from March 24, 2023

bediyaan 🌸

Usay uddna pasand tha, Mujhe bandhe rehne ki aadat thi.. Ghum ne usay kabhi na chhua tha, Aur mere paas zakhmon ki saugaat thi.. Usay chaand dekhna pasand tha, Mujhe toot-te taaron par yakeen tha.. Uski zindagi mein sach ka darwaaza bandh tha, Aur main jaanti thi ki taqdeer se laddna befizool tha.. Uski Khushi mere saath thi, Par sukoon uske sheher se tha... Mere pairon mein bediyaan thi, Aur usko mere saath uddna tha... Toh maine ek din usay aazaad kar diya, Aur usne mere ishq ko dhoke ka naam diya, Shayad mujhe samajhna na aasaan tha, Isliye maine uske ilzaam ko yun hi maan liya. - Medhavi  25/03/23