Posts

Showing posts from May 8, 2015

P. Kuch mohabbat sa...

Ek lamhe mein samet gaya jaise woh ek poori zindagi, woh pyaar barsaata gaya, humne maanga bhi nahin, Chhua usne toh jaise boondein shabhnam ki jal uthhi, Mehsoos usay kar kareeb apne, har zarre ki kaayanaat pighal gayi... Uski khushboo jaise saanson ko kaid kar rahi thhi, Usmein gum bhi thhi kuch aur khud mein aib dhundh rahi thhi... Usko paane ka khwaab dekha bhi nahin, Usko jataane ki himmat bhi kar na sake, Bas pyaar hum luttaate rahe, Aur uske katre samet-te rahe... Yeh raah mere liye nayi si thhi, Gustaakh thoda sa dil aur adhoori manzil bhi thhi, Par ussay dekh na jaane kyun sab bhool jaati hun, Na jaane kis oar yeh galliyaan le jaa rahi hain... Main bas usko soch chalti hi jaati hun, Na jaane kis modd par dil tootne ki baari hai, Yahan haar ka yakeen hai, Aur manzil kahin nahin hai, Phir bhi haarna kyun uss par mujhe jeet sa lagne laga hai, Na jaane kya kiya usne, ki yeh dil phir mohabbat karne laga hai... Medhavi 08.05.15