Phir uss raat si
Har raat ki taqdeer Woh ek raat likh gayi Meri kismat se teri lakeer Dhundhlaate huye mitt gayi... Ab bhi shor hai waisa hi Aur khaamoshi bhi waisi hai Ab bhi dard hai waisa hi Aur hassi bhi waisi hai... Bas mehfilein badal gayi hain Tanhaayiyaan badh gayi hain Ghazalein likhne lagi hun Jhootha hansne lagi hun... Ab bhi chaand mujhko Khoobsurat pehle sa lagta hai Ab bhi kahin intezaar Koi chupaa hua zarra sa karta hai... Ab bhi dua-on mein Naam tera yeh dil dohraata hai Phir khaali hatheliyon se Khud ke ashq bhi ponchtaa hai... Tu bekhabar toh nahin Kyunki yeh hawaayein tujhko bhi chooti hain Yeh dhoop tujhe bhi garm karti hain Yeh baarishein tujhko bhi bhigoti hain... Par shaayad hawa tujhe choo kar bhi Kahin dhoke mein reh jaati hain Tujhe toh lautna na thha kabhi Ab hawaayein bhi bewaffa si lagti hain... Ab dhoop yeh shaayad tujhko nahin Bas mujhko hi jalaati hai Aur baarishein bhigoti hain magar Rag rag nam kar jaati hain... ...