Is baar
Is baar jab hum milenge Khamosh rahenge ya baatein karenge Dekhenge hum jab ek doosre ko Aur jab saath baithenge Toh kya haath pakad ke rakhenge Aur agar saath chale toh Kya hamare haath chuyenge Yeh sab soch main intezaar kar rahi hun Din guzar rahe hain aur main tumhare paas aa rahi hun Main hun shayad paagal, par sirf tumhare liye hun Tumse maanga nahin kuch bas tumhari ban gayi hun Mohabbat ka naam na dena, yeh us se pare hai, Tum subha ka suraj, main bas roshni hun. Medhavi