Posts

Showing posts from November 4, 2020

🌸berukhi🤞

Teri berukhi ko mohabbat ka naam dete dete,  Khud ko nakaamyaabi ka ilzaam dete dete, Thak gaye hain hum bhi, Aur toot gayi hai himmat bhi ab, Is ek - tarfa chingaari ko aag ki pehchaan dete dete... Medhavi 05.11.15

poem for Nidzee

Poem for Sneha Chandra 💟 Thanks to Kaustubh Belur for the brilliant idea ! 😃 Ek pyaare dost ne kaha itna achcha likhti ho tum,  Toh kam se kam aaj ke liye kuch likhna toh banta hai... Toh Aaj socha ki yaadon ke bakse ke kuch kisson ko dhoop dikha dun,  apni behen ki shaadi par unki unke guzre bachpan se phir mulaaqaat Kara dun,  phir socha kahan se shuru karun,  kyunki yeh safar jitna unka hai, utna mera bhi hai, aur yaadon ke iss bakse ka ek hi pata hai - Hum... Ghar ke badde-buzurg bataate hain,  aur kuch tasveerein bhi gawaah hain,  ki hum pehli mulaaqaat se hi, Ek doosre ke khayaalon ko zubaan diya karte thhe... Sab jab ek saath baith kar antaakshari khelte thhe Hum Ghar ke kissi kone mein saath baith kar khwaab bunte thhe... Bachpan se le kar ab tak ka waqt itna khoobsurat aur yaadgaar raha hai,  ki samajh nahin aata kaun se kisse ki baat pehle karun.. Garmiyon ki chuttiyaan Aur mitti ke Ghar Nani se suni woh kahaaniyaan Aur Meerut wale Ghar ki chatt Be-umra baatein Aur lambi ra

oas🌸

Guzre huye lamhon ki oas, Aaj aayeene par jami huyi dekhi,  Gire huye do chaar lafz,  Aur bhulaayi huyi yaadein,  Kuch puraani tasveerein,  Aur dohraayi huyi baatein,  Ehsaas ajnabee to ho Gaye,  Par paraaye nahin,  Mulaaqaat to kehne ko ho gayi,  Par woh laut ke aaye nahin. Intezaar nahin, ummeed nahin,  Na unse mohabbat Hai ab,  Khud se naraazgi hai, nafrat bhi,  Kyun na samajh sake hum tab,  Behte rahe Nadi ki tarah unke jahaan mein, Jo kehte woh maan lete thhe, Aankhein moond Kar hum.  Ab khuli Hain aankhein to tajjub karte Hain,  Is oas par unka naam likh Kar mitaate huye, Hum hum na rahe, waqt badal Gaya magar, Woh na badle, na badli fitrat unki,  Kitni milegi saza us ek faisle ki,  Ki kabhi in nigaahon ne unko chuna Tha, Duniya se jhagad Kar unhe apna banaya tha. Mohabbat jab apni hi nazar mein gunaah ban jaati Hai,  Ek pal mein hausalon ki tasveer toot jaati Hai,  Saans aati Hai magar, jeene ka ehsaas nahin hota,  Zindagi guzarti Hai magar, Waqt nahin guzarta. Medhavi