poem for Nidzee

Poem for Sneha Chandra 💟
Thanks to Kaustubh Belur for the brilliant idea ! 😃

Ek pyaare dost ne kaha itna achcha likhti ho tum, 
Toh kam se kam aaj ke liye kuch likhna toh banta hai...

Toh Aaj socha ki yaadon ke bakse ke kuch kisson ko dhoop dikha dun, 
apni behen ki shaadi par unki unke guzre bachpan se phir mulaaqaat Kara dun, 
phir socha kahan se shuru karun,
 kyunki yeh safar jitna unka hai,
utna mera bhi hai, aur yaadon ke iss bakse ka ek hi pata hai - Hum...

Ghar ke badde-buzurg bataate hain, 
aur kuch tasveerein bhi gawaah hain, 
ki hum pehli mulaaqaat se hi,
Ek doosre ke khayaalon ko zubaan diya karte thhe...
Sab jab ek saath baith kar antaakshari khelte thhe
Hum Ghar ke kissi kone mein saath baith kar khwaab bunte thhe...

Bachpan se le kar ab tak ka waqt itna khoobsurat aur yaadgaar raha hai, 
ki samajh nahin aata kaun se kisse ki baat pehle karun..
Garmiyon ki chuttiyaan
Aur mitti ke Ghar
Nani se suni woh kahaaniyaan
Aur Meerut wale Ghar ki chatt
Be-umra baatein Aur lambi raatein
Sab logon ki yahi chintaa
Ki kitna waqt kaafi hoga
In dono ke liye, shaayad
Zindagi bhi kam padegi ...

Di, Aapse mil kar bachpan se abhi tak bas ek hi baat ko, baar baar Maine samjha hai,
Ki hum dono ka sanyog shayad khuda ne baddi fursat se banaaya hai,
Har kaddi ko Jod Jod kar hum dono ka yeh rishtaa itna haseen banaaya hai...

Sochti main Hun, 
keh aap deti hain, 
Na zaahir ki huyi tamanna, 
aap Na jaane kaise,
meri aankhon mein padh leti hain,
Itna hansaati hain ki aankhon se aansu aur gale mein hichkiyaan aa jaati hain,
Aur itna pyaar karti hain ki khud par taajjub hota hai 
ki aisa kya kiya Maine ki aap meri behen bani...

Khuda se koi shikaayat nahin ki kaash aisa hota ya waisa hota
Kyunki hamara yeh Jo naata hai ismein kuch aur ya kissi aur ki koi zaroorat hi nahin
Hum dono saath mein ek doosre ki taaqat aur kamzori dono jo hain
Hum jab tak saath hain, 
kissi ko humein toddne ki himmat hi nahin...

Kal aapki shaadi hai, 
Zindagi ka ek Naya daur, 
Ek nayi dor, ek Naya humsafar,
Aapke intezzaar mein,
Ek ek pal kaat raha hai,
Kal se aapki zindagi badalne wali hai,
Bahut si khushiyaan daaman mein girne wali hain...

Iss waqt, dil mein bahut si muraadein hain,
Aapke liye nikalti iss mehfil se sirf duaayein hain,
Par mujhe iss bahut saari khushi ke saath saath, thodda darr bhi hai,
In raunakon mein doobi huyi ek udaas si nazar bhi hai,
Aapka pyaar kabhi kisise baanta Jo nahin,
Par phir ek yakeen bhi hai,
Ki aapke is khoobsurat safar ki shuruwaat ke saath,
Hamare iss atoot rishte ki umra aur lambi aur haseen ho jaayegi,
Aur bachpan mein kiye thhe Jo humne ek doosre se vaade,
Woh aap zaroor nibhaayengi...

Jab bhi akelapan mehsoos ho, 
bas mujhe yaad kariyega,
Aur main agli train pakad kar ( kyunki ab reservation bhi confirm ho hi jaayega) aapke paas aa jaaungi
Aaj ke iss din, is waqt ko,
Bas apne bachpan ke naam kar dijiye,
Aur chaliye phir vaada kariye
ki yeh bachpana yeh paagalpan hamari umra ke saath aur jawaan hota rahega
Aur yeh din yaad kar ke yahan maujood har shaqs bas yun hi muskuraayega....

Vivek Prakash Sangh Mittra Vidushi Vidz Garima Prakash Kanishka Chaudhry Kunal Chaudhry Prachi Singh Shikhar Acharya Prateek Acharya Varnika Acharya Lalita Gautam Kadam Bari Suresh Chandra Vijai Laxmi Saumya Chandra Sudhir Gautam Poonam Verma Disha Puri 
 
Shobhit Puri you were missed ! 😊

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸