Posts

Showing posts from April 15, 2020

🫧bhram

Aadhi zindagi,  Hazaaron filmein,  Aur laakhon dard lag gaye,  Yeh ek baat samajhne mein,  Ki yeh ishq mohabbat,  Sirf kitaabi baatein hoti hain.  Logon se hamesha se sunti thi, hansti thi un par,  Kyunki sochti thi,  Ki kitni kharaab taqdeer hai inki, ki inko ishq se inkaar hai, bataao in baaton ko kitaabi kehte hain, jin par likhi gayi hain anginat kahaaniyaan. Jab toot-ti hai himmat, Aur dil mehsoos karna chorr deta hai, tab kuch yakeen sa hota hai, ki yeh sab bas ek bhram, ek samjhauta hai. Jise log karte hain, apne apne waqt pe, apne apne matlab se, aur phir sab raaton raat badal jaata hai.  Medhavi

shayad🌸

Phir se khud se yeh ikraar karna, ki is baar bhi mohabbat mein tumhari haar huyi, shaayad main karne se darti hun... Shayad main darti hun yeh maanne se, ki tum bhi chale gaye, ya shaayad maine jaane diya...  Shayad main darti hun, har roz subha uth kar khud ko dekhne se, kyunki har din ek hi khwaab toot-te huye baar baar dekhti hun,  Tumhe mujhko bhulaate huye, har roz dekhti hun... Shayad main darti hun, phir se nakaam hone se, phir tanha hone se, phir akele Rone se,  Phir toot ke bikharne se, aur phir se mohabbat karne se... Medhavi

👤 hausla

Mujhe har din aisa lagta hai,  Jaise maano main tumhara peecha kar rahi hun,  Kabhi messages pe,  To kabhi call kar ke,  Kabhi posts pe tag kar ke,  To kabhi apni pics bhej ke,  Jaise main tumhara apni zindagi mein ab tak hone ka yakeen khud ko har din dilwaana chahti hun,  Jabki sach to yeh hai,  Ki tum mujhe chorr bahut pehle aage badh chuke,  Aur main wahin hun,  Jahan se waapas lautne ka koi raasta nahin,  Aur aage badhne ka mujhmein hausla nahin...