Posts

Showing posts from July 21, 2024

neeche ka kamra

Woh neeche ke ghar ka kamra jo aksar bandh rehta hai,  Usmein ab bhi tumhari kuch khushboo baaki hai,  Woh purse jo tumne mere is janamdin pe diya tha, Usmein ab bhi tumhari rakhi chilladd baaki hai... Woh glass jismein tumne aakhiri baar paani piya tha,  Ab bhi mere sirhaane rakha hai,  Woh chota sa showpiece jo tumne kamre mein lagaya tha, Woh kaanch ke darwaaze se aksar mujhe dekhta hai...   Woh windchime jo tumne pichli Diwali pe di thi,  Uski aawaaz ab bhi mere kamre mein goonjti hai, Woh chaabi taangne wala jo tum Jaipur se laaye thhe,  Usmein ab meri meri chaabiyaan khanakti hain... Mere har din ki kisi na kisi baat mein tumhari yaadein saanson ki tarah saath saath chalti hain,  Tumhare us faisle par har din mujhko kuch aur jhanjhodti hain, daant-ti hain, samjhaati hain... Ki woh aakhiri postcard jo tumne Spiti se bheja tha,  Jispe tumne likha tha ki tum mera saath kabhi nahin chodoge, hum hamesha saath rahenge,  Tumhari saari baaton ki tarah, yeh bhi sirf baatein thi,  Tumhare

gaane

Hum aksar gaano ke zariye baatein karte thhe,  Aur phir ek din, hum alag ho gaye,  Mere sur, jaise mere honthon ko chodd gaye,  Mera zehen, kisi gaane ko ab sunta nahin,  Uske diye zakhm meri had dhadkan todd gaye,  Koi lafz, koi saaz dil tak ab pahunchta nahin... Kahaani ghazalon ki, geeton ki baaton ki,  Kishore, Rafi, Kuhad, Anuv aur Trivedi ki,  Shayari Faiz, Rumi ki, kavitayein Bashir ki,  Sab mujhse roothi yun jaise meri pasand hi na thi... Ab main gaane sunti nahin,  Khaali rakha hai dil ka makaan sab saazon se, Kyunki shor mere mann ka maun hota nahin,  Usko bhulaana hai, mitaana hai jazbaaton se... Woh sunta hai ab bhi, gungunaata bhi hai,  Har lafz jo sune woh, mujhe yaad aata bhi hai,  Par faaslon ka faisla uska hi hai,  Aur mohabbat ka aakhiri karz yeh dil chukaata bhi hai... Bhool jaayenge usay, yeh koi shart na thi,  Yaad aayenge usay, itni toh aukaat hamari bhi hogi,  Guzar jaayega yeh waqt, waqt ke saath bhi,  Uske waqt mein magar thodi Kami hamari bhi rahegi.  - Medhav