gaane

Hum aksar gaano ke zariye baatein karte thhe, 
Aur phir ek din, hum alag ho gaye, 
Mere sur, jaise mere honthon ko chodd gaye, 
Mera zehen, kisi gaane ko ab sunta nahin, 
Uske diye zakhm meri had dhadkan todd gaye, 
Koi lafz, koi saaz dil tak ab pahunchta nahin...

Kahaani ghazalon ki, geeton ki baaton ki, 
Kishore, Rafi, Kuhad, Anuv aur Trivedi ki, 
Shayari Faiz, Rumi ki, kavitayein Bashir ki, 
Sab mujhse roothi yun jaise meri pasand hi na thi...

Ab main gaane sunti nahin, 
Khaali rakha hai dil ka makaan sab saazon se,
Kyunki shor mere mann ka maun hota nahin, 
Usko bhulaana hai, mitaana hai jazbaaton se...

Woh sunta hai ab bhi, gungunaata bhi hai, 
Har lafz jo sune woh, mujhe yaad aata bhi hai, 
Par faaslon ka faisla uska hi hai, 
Aur mohabbat ka aakhiri karz yeh dil chukaata bhi hai...

Bhool jaayenge usay, yeh koi shart na thi, 
Yaad aayenge usay, itni toh aukaat hamari bhi hogi, 
Guzar jaayega yeh waqt, waqt ke saath bhi, 
Uske waqt mein magar thodi Kami hamari bhi rahegi. 

- Medhavi 
21/07/24

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸