neeche ka kamra

Woh neeche ke ghar ka kamra jo aksar bandh rehta hai, 
Usmein ab bhi tumhari kuch khushboo baaki hai, 
Woh purse jo tumne mere is janamdin pe diya tha,
Usmein ab bhi tumhari rakhi chilladd baaki hai...

Woh glass jismein tumne aakhiri baar paani piya tha, 
Ab bhi mere sirhaane rakha hai, 
Woh chota sa showpiece jo tumne kamre mein lagaya tha,
Woh kaanch ke darwaaze se aksar mujhe dekhta hai...
 
Woh windchime jo tumne pichli Diwali pe di thi, 
Uski aawaaz ab bhi mere kamre mein goonjti hai,
Woh chaabi taangne wala jo tum Jaipur se laaye thhe, 
Usmein ab meri meri chaabiyaan khanakti hain...

Mere har din ki kisi na kisi baat mein tumhari yaadein saanson ki tarah saath saath chalti hain, 
Tumhare us faisle par har din mujhko kuch aur jhanjhodti hain, daant-ti hain, samjhaati hain...

Ki woh aakhiri postcard jo tumne Spiti se bheja tha, 
Jispe tumne likha tha ki tum mera saath kabhi nahin chodoge, hum hamesha saath rahenge, 
Tumhari saari baaton ki tarah, yeh bhi sirf baatein thi, 
Tumhare pyaar ke vaade bhi sab jhoothe thhe aur vaisi hi jhoothi yeh sab yaadein hain,
Main bedakhal kar rahi hun in sab yaadon ko apne zehen se, par ghar se nahin nikaalungi, 
Kyunki mujhe tumhe nahin, tumse miley sabaq ko yaad rakhna hai aur woh main kabhi nahin bhulaaungi. 

- Medhavi 
20/07/24

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸