Posts

Showing posts from July 16, 2019

Libaas

Wrote fo saumyaa Yeh libaas saadgi ka Ya hai mausam dilkashi ka Yeh latt zaraa uljhi si Aur adaa zara sulgi si Yeh ungliyaan tumhari Hain bani kalaakaari se Roshan ghar yeh karengi Sau andheron se ladd ke Itne haseen tumhare kadam hain Zameen se aasmaan ka sangam hain Halki tabassum tumhari Jaise goonji koi kilkaari Badde bhole hain yeh do naina Jinmein ojhal si hoti udaasi Utarti huyi zara nami si Phir bhi hain kitni pyaasi Yeh baaliyaan tumhari Ghunghroo si aawaaz wali Choomti huyi tumhare kaanon ko Phir ek sargam si chaayi Baddi fursat se banaaya Khuda ne tumko kisson mein Bhar di usne adaayein saari Tumhare har zarre k hisson mein Ghar se jab nikalnaa Aayeena phir dekh lena Kahin khuda hi na rooth jaaye Khudaa ka shukriya kar denaa..