Libaas

Wrote fo saumyaa

Yeh libaas saadgi ka
Ya hai mausam dilkashi ka
Yeh latt zaraa uljhi si
Aur adaa zara sulgi si
Yeh ungliyaan tumhari
Hain bani kalaakaari se
Roshan ghar yeh karengi
Sau andheron se ladd ke
Itne haseen tumhare kadam hain
Zameen se aasmaan ka sangam hain
Halki tabassum tumhari
Jaise goonji koi kilkaari
Badde bhole hain yeh do naina
Jinmein ojhal si hoti udaasi
Utarti huyi zara nami si
Phir bhi hain kitni pyaasi
Yeh baaliyaan tumhari
Ghunghroo si aawaaz wali
Choomti huyi tumhare kaanon ko
Phir ek sargam si chaayi
Baddi fursat se banaaya
Khuda ne tumko kisson mein
Bhar di usne adaayein saari
Tumhare har zarre k hisson mein
Ghar se jab nikalnaa
Aayeena phir dekh lena
Kahin khuda hi na rooth jaaye
Khudaa ka shukriya kar denaa..

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸