Posts

Showing posts from August 27, 2020

jab🌸

Jab ek zarre ki maujoodgi bhi khayaalon ko khale, Har waqt khaalipan mein guzra waqt hi khanke, Jab hon bheed mein tanha sawaalon ki numaaish, Aur khushi bhi miley toh lage koi saazish... Jab mausam bhi naraazgi jataaye,  Hawaayein yeh hausalon ko udda le jaayein, Jab saamna ho khud se aur rang lage feeka, Aur saaya lage paraaya gairon ka aur khud hi ka... Jab raaton ke andhere bhi Karne lagein samjhaute, Aur chubhne lagein logon ke shabd aur chehre, Ab To lagta Hai jaise yeh 'jab' khatm hi nahin honge, Kisse is veeraane ke hum likhte hi rahenge...   Kya bahaar ki aakhiri ummeed bhi ab mitta dein, Ya khud ke hi aage ab hum sar jhuka dein, Ki haare hausalon sang kab tak badh sakenge, Yeh jhoothi muskuraahat kab Tak saath degi, Ya yeh andhere kabhi ujaalon mein badlenge, Is ummeed par bhi ummeed yeh kab Tak tikegi ?  Medhavi