Posts

Showing posts from June 4, 2015

Pending.Ek mulaqaat...

Ek mulaaqaat ke intezaar mein Na jaane kitni seher dastak de gayin Na jaane kitni shabh dhal gayin... Hasraton mein rang bharta gaya Aur Rangon mein noor utarta gaya Noor mein nakkaashi hoti rahi tere ehsaas ki Nakkashiyon mein ghulti gayi teri mithaas si... Ab woh ek mulaaqaat na jaane hogi kab Khatm ho gayi wajahein aur bahaane sab Kuch paane ya khone ko nahin lekin Phir bhi daav lagaaye dil hum baithhe hain Samajhne samjhaane ko kuch nahin hai Phir bhi uss ki ummeed lagaaye baithhe hain... Medhavi 05.06.15