Posts

Showing posts from August 10, 2016

P.Talaash ---- (Poetry -- R.I.P Abhi - 1)

Dhundha tujhe un sab galliyon mein, Jahaan jahaan ummeed thhi, Pukaara tujhe chilla chilla kar, Par shayad mere hausalon mein kami thhi... Sun raha hai tu mujhe, Shayad dekh bhi raha hai, Teri uss duniya mein shayad, Yeh sab mumkin har tarah hai... Par soch kabhi mera bhi, Hun main yahan be-ummeed, Sab pooch rahe hain mujhse, Aur main keh rahi hun sab theek... Sambhaalna hai tere apnon ko, Par mujhe sambhaalne wala koi nahin, Na jaane neend kab aayegi, Na jaane kab chain milega, Itni thhi baatein kehne ko, Par tune suna hi nahin... Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main, Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine, Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai, Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai, Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se, Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil, Kho gaye saare raaste, Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil...