Posts

Showing posts from June 13, 2018

Banjaara

Khud par se apna haq gawaa baithi, Tere ishq ne mujhe itna banjaara kar diya... - Medhavi

Aahat

Darwaaza khula tha zindagi ka Tumhari aahat bhi suni thhi Bas tumhari sarhad farzon ki chaukhat thi Aur mera daayara teri mohabbat ki tadap thi... -Medhavi 16.06.14

Aadatein

Aadatton ki aadatein samajhte samajhte Na jaane kab fitraton se mulaaqaat ho gayi Jhaank rahe thhe guzre waqt ke dareeche se Aur Bas Yun hi hasraton se baat ho gayi Medhavi

Kankad

Us Kachchi sadak ki marammat aaj hote dekhi Jiske kankaddon se humne Yun hi khela Tha kabhi Khoobsurat lagegi shaayad ab woh puraani gali Par sawaal phir bhi Dil mein aaya mere puraana wahi Woh kankadd ab bhi tumhari daraaj mein padde Hain Kya ? Unki dhool ab bhi tumne bachaayi rakhi Hai ? Ya is nayi sadak ke banne se bahut pehle Tumne Meri tarah Meri har yaad bhi bhula di hai Medhavi