Posts

Showing posts from August 19, 2015

Pending Kisson ki chaadar... - A Tribute to Tapti Chaai Stall,JNU

Kisson ki chaadar mein simta ek khoobsurat sa aashiyaan Jo adhoora sa basaaya kisi anjaan shaqs ne Aur ban gaya hamare ishq ki pehchaan... Kahaani shayad wahin se shuru huyi thhi Jab halki halki shaam dhal rahi thi Chaai ka woh cup ab bhi meri ungliyon ko garm kar deta hai Samaa uss shaam ka ab bhi mere lamhon mein rang bhar deta hai Aankhon aankhon ki baatein Kuch adhoori si mulaaqaatein Uss chaanv bhare manzar ne Na jaane kab de di itni saugaatein Woh jhuka hua sa ped Jo lagta thha toota sa Uss se woh raasta ab bhi nikalta hai Sannaatton mein goonjti aahaton mein se Ab bhi koi geet sa bajta hai Mor yun hi chalte huye unhi rangon mein kho jaate hain Aur un sannaatton mein kahin gum hum tum bhi ho jaate hain Baithhne ki jagah hamesha Wahan nam nam si rehti hai Kabhi oas kabhi baarish wajah Par waisi hi achchi lagti hai Har daffa kapde hamare Ab bhi geele ho jaate hain Aur hum phir hans kar khud par Apna hi mazaak banaate hain Na jaane kitne kisse, kitni