Posts

Showing posts from July 16, 2018

🚩Lines

🎈 I wanted to stay awake, You wanted to sleep, And life went on like that, Now we don't sleep together. 🎈The midnight rain reminds me of you, your broken promises and your love. Untimely. 🎈 When the tea went cold And the conversations didn't end That's the time I'm talking about Nowadays when I don't talk much. 👤 We were stuck in between maybe and meant to be, And life moved on. 🎈 We planned our lives together, The color of the walls, The long conversations over tea, And then life happened.

For Chatrath

Wrote fo saumyaa Yeh libaas saadgi ka Ya hai mausam dilkashi ka Yeh latt zaraa uljhi si Aur adaa zara sulgi si Yeh ungliyaan tumhari Hain bani kalaakaari se Roshan ghar yeh karengi Sau andheron se ladd ke Itne haseen tumhare kadam hain Zameen se aasmaan ka sangam hain Halki tabassum tumhari Jaise goonji koi kilkaari Badde bhole hain yeh do naina Jinmein ojhal si hoti udaasi Utarti huyi zara nami si Phir bhi hain kitni pyaasi Yeh baaliyaan tumhari Ghunghroo si aawaaz wali Choomti huyi tumhare kaanon ko Phir ek sargam si chaayi Baddi fursat se banaaya Khuda ne tumko kisson mein Bhar di usne adaayein saari Tumhare har zarre k hisson mein Ghar se jab nikalnaa Aayeena phir dekh lena Kahin khuda hi na rooth jaaye Khudaa ka shukriya kar denaa..

Khauff

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab ...