Posts

Showing posts from October 28, 2024

🫧kya tum bhi

Kya tum bhi... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho,  jab waqt ki koi paabandi Na hogi,  mulaaqaaton ki umrein lambi hongi,  Jab har khayaal likh ke bataana Na padega, Aur doooriyon se pyaar jataana Na padega... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho, Jab hum har waqt ka khaana saath khaayenge, Aur bin soche bas kahin bhi nikal jaayenge, Jab saath baith kar ghanton yeh chaand takenge, Aur phir pehle ki baaton par pehli baar sa hansenge... Yeh baatein sochte sochte ek ek din main guzaar rahi hun, Tumse milne ka har waqt main intezaar kar rahi hun, Dekho aaj ek aur din kam ho gaya, Hamari mulaaqaat ka waqt kareeb aa gaya, Yahi soch kar muskura rahi hun main meelon dur tumse, Yahi soch kar phir khwaab bun rahi hun jodd ke tumse... Medhavi