diwali🌸
[10/27, 2:35 AM] Medhavi: Sochti hun is Diwali par Kya maangun, Kuch maangna banta bhi hai Kya? Log to maangte Hain ki bas unke Ghar Lakshmi ji aayein, Par main jaanti hun ki har guzarne wale saal mein, Meri maa apne Ghar ki Lakshmi kisi aur ke Ghar bhejna chahti Hain, Chahti Hain ki mujhe koi aisa Miley, Jiske saath Zindagi katte nahin, guzar jaaye, Phir sochti hun ki mujhe Kya maangna hai, To bahut se khayaal aate Hain, Shaayad yeh ki kaash agli Diwali ka pehla Diya main Akele na jalaaun, Rangoli banaate waqt mere gaalon par girti lattein koi mere kaan ke peeche Kar de, Kamra sirf Mera na ho Kar hamara ho, Phoolon ki khushboo bas ek din nahin, hafte bhar se ho aur hafte bhar rahe, Tasveerein bas Instagram ke liye na ho Kar lamhon ko kaid Karne ke liye hon, Tohfe bas Diwali Milne ke liye na main Akele khareedun, Koi mujhe bhi Diwali par kahe ki Mujhse uski zindagi mein Roshni hai, Diwali ho ya na ...