Maine khud ko paaya🌸

Usne kal poocha Mujhse 
Maaf Kar saki Kya tum Mujhko kabhi
Is sawaal ka jawaab anginat daffa socha tha Maine
Par us pal bas main hans paddi 

Shayad Fark padna bandh ho chuka tha
aur Zindagi bahut aage nikal gayi thi
Yeh bhi nahin Pata kab 
Yeh bhi nahin Pata kaise 
Bas Main aage badh gayi 
Aur Dard ko kaamyaabiyon ne peeche chorr Diya 

Aisa nahin tha ki Dard khatam ho gaya tha
Bas kuch gehraayiyon mein simat gaya tha
Usko kehna tha bahut kuch par bas yahi keh saki
Ki main tumko kab ka Bhool chuki 

Usay yakeen nahin hua, usne phir poocha, 
Pakka! Ab tumhe Mujhse koi bair nahin ? 
Maine khud se pucha, hai Kya ? 
Aur jawaab Mila, kuch yaad hi nahin

Itna Dard tha ek waqt ki har din Dil ka ek hissa toot-ta tha, 
Mere andar ka rab Mujhse ek hi sawaal poochta tha, 
Kya karmon ka fal issi Zindagi mein milta hai? 
Ya burra Karne walon ke saath hamesha achcha hi hota hai? 
Agar haan, to Kya faayada is achchaayi ka? 
Tum kyun nahin badalti, kyun nahin thaamti aanchal buraayi ka? 
Phir khud se ek aawaaz si aati thi, 
Mujhe Fark banaaye rakhna hai, 
Usmein aur mujhmein thhe kaafi Fark waise, 
Par yeh Fark sabse Zaroori tha banaaye rakhna, 
Jo usne Kiya tha mere saath, 
Woh na main kabhi kisi aur ke saath dohraaungi, 
Aur na kisiko dohraane dungi, 
Chaahe dil dukhe, par Dil tootne nahin dungi, 
Khud jaise haalaat kisi aur ke na banne dungi, 
Jitna mere bas mein hoga, main mohabbat ka rang sawaarungi,
Isko bematlab na hone dungi aur na kisiko bolungi, 
Ki mohabbat sirf Dard deti hai,
Kyunki yeh Sach nahin tha, 
Woh mere liye galat tha, par meri pasand tha, 
Meri taqdeer achchi thhi, bas Mera waqt bura tha..

Waqt bura tha par guzra, 
Aur Zindagi phir muskuraayi bhi,
Aur na jaane kab in sab baaton mein, 
Usko maaf karna, na karna, yeh sawaal main Bhool gayi, 
Usne jab poocha Mujhse itne baras baad, 
To bas hansi hi chhooti,
Kyunki Zindagi ki jis sachchaayi ne mujhe Badla, 
Woh shaayad dua hi thi, 
Kya bair rakhti uss se, 
Uske jaane ke baad hi to main khud se Mili, 
Is badlaav ne mere hisson ko thes to pahunchaayi, 
Par mujhe mazboot bhi banaaya, 
Kehne ko Meri mohabbat shaayad Haari, 
Par main jeeti, kyunki Maine khud ko paaya

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸