Posts

Showing posts from February 25, 2023

baatein 🌸

Ho rahi thhi baatein Kuch iss tarah  Ki hawa mein hasi ki goonj Aur darmiyaan dooriyon ki khushboo thhi Kuch judaa kuch kareeb Yun hi gumshuda sa ek khayaal Jhooth aur sach ke beech jhoolta hua  Kuch khud par hasta  Kuch khud se rooth-ta hua Khayaal se nikalta sawaal yun hi bin baat jhoomta hua Kat gayi raat yun hi khaamoshiyon ki gufatagu mein Yun judd gayi ek raah ibaadat ki justajoo mein Kuch sitaare jo chamke thhe uss raat aasmaan mein  Ho gaye chaand ke kuch aur roobaroo kisi aur jahaan mein Kuch baatein jo huyi shuru thhi baaton ke bunte jaal se Aaj judd gaye phir meri is daastaan aur aaj ke iss khayaal se Phir likh rahi hun afsaana ussi raat ka Jispar likh chuki hun kitna ussi baat ka Woh hai khayaalon mein aaj bhi khud ko dohraata hua Hai anginat faaslon par phir bhi kareeb aata hua.... Medhavi

meri tarah

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai Guzre waqt ke khoye huye purzon ki Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein Kya guzre afsaane bhula sake tum Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah Kya woh tohfe phek chuke tum Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah Ab aage badhne bhi do Khwaabon mein aana chorr do Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina Saath jo mumkin nahin Ab bhi kyun mannatton mein aata hai Kyun ab bhi saaya tumhara Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin Na rakhenge bair koi hum  Na poochenge phir kyun bulaaya nahin Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain... Medhavi