meri tarah

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai
Guzre waqt ke khoye huye purzon ki
Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake

Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai
Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si
Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein

Kya guzre afsaane bhula sake tum
Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah
Kya woh tohfe phek chuke tum
Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah

Ab aage badhne bhi do
Khwaabon mein aana chorr do
Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina

Saath jo mumkin nahin
Ab bhi kyun mannatton mein aata hai
Kyun ab bhi saaya tumhara
Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai

Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke
Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin
Na rakhenge bair koi hum 
Na poochenge phir kyun bulaaya nahin
Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke
Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸