Posts

Showing posts from March 31, 2024

abhi

Kabhi kabhi tumhari bahut yaad aati hai,  Phir yeh bhi yaad aata hai,  Ki tum is duniya mein nahin ho. Main aksar in taaron mein tumko dhoondhti hun, Kyunki tum meri nigaahon ke,  Nazaaron mein nahin ho. Tumhari khushboo kuch bhool gayi hun main,  Par tumhari aawaaz har roz sunti hun,  Tumhari aahatein ab sunaayi deti nahin,  Par tumhari baatein yaad rakhti hun.  Kabhi kabhi aisa bhi lagta hai,  Ki tum mera khayaal rakhte ho,  Jab main roti hun tanha,  Tum bebas ho kar mujhko takte ho.  Main kehti hun aksar tanhaayi mein,  Ki saamne aa gaye tum toh main ghabraaungi nahin, Yun akele deewaron se baatein karte karte,  Thak gayi hun kyunki yeh tum Tak pahunchengi nahin.  Tumhe hona tha yahan paas mere,  Jab zarurat thi, ya nahin bhi,  Tumhe jeena tha saath mere,  Par ab chaah kar bhi faayada nahin.  I miss you Abhi.  Rest in Peace. 

nahin suna tha

Ab kabhi tum mil gaye,  Toh shayad mujhe sahi lafz kya,  Sahi Nazar bhi nahin milegi,  Tumse kehne ko ek bhi baat nahin bachi mere paas,  Tumhe yaad kar ke sirf saans lene ke liye har raat baaki hai,  Tum bhool gaye mujhe jab tumhe mujhe yaad rakhna tha,  Tumne mujhe jaane Diya jab tumhe mujhe apne saath rakhna tha,  Ab koi fariyaad, koi ummeed nahin hai tumse,  Aur yahi baat Mera Dil har pal Zara aur todti hai,  Hum kabhi nahin milenge ab kabhi, kabhi saamna nahin hoga tumse,  Aur yahi baat tumhe samajh aayegi, bas thoda aur waqt lagega,  Tumhe bhi yaad aayegi meri,  Aur har darwaaza bandh milega,  Tumhare bhi haath lahu- luhaan honge,  Par koi darwaza nahin khulega,  Main tumhe jitni burri aur galat lag rahi hun abhi,  Utni hi achchi aur sahi bhi lagungi,  Jab koi aur tumse mohabbat se baat karega,  Par tum har shaqs mein mujhko dhundhoge,  Is baar main nahin lautungi,  Aur tum yeh baat yaad karna,  Ki maine kaha tha aur tumne nahin suna tha.