abhi

Kabhi kabhi tumhari bahut yaad aati hai, 
Phir yeh bhi yaad aata hai, 
Ki tum is duniya mein nahin ho.

Main aksar in taaron mein tumko dhoondhti hun,
Kyunki tum meri nigaahon ke, 
Nazaaron mein nahin ho.

Tumhari khushboo kuch bhool gayi hun main, 
Par tumhari aawaaz har roz sunti hun, 
Tumhari aahatein ab sunaayi deti nahin, 
Par tumhari baatein yaad rakhti hun. 

Kabhi kabhi aisa bhi lagta hai, 
Ki tum mera khayaal rakhte ho, 
Jab main roti hun tanha, 
Tum bebas ho kar mujhko takte ho. 

Main kehti hun aksar tanhaayi mein, 
Ki saamne aa gaye tum toh main ghabraaungi nahin,
Yun akele deewaron se baatein karte karte, 
Thak gayi hun kyunki yeh tum Tak pahunchengi nahin. 

Tumhe hona tha yahan paas mere, 
Jab zarurat thi, ya nahin bhi, 
Tumhe jeena tha saath mere, 
Par ab chaah kar bhi faayada nahin. 

I miss you Abhi. 
Rest in Peace. 

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸